Monday, January 22, 2018

Tohfa e Khawateen TaLaaq







          .           ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

    .   鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿         
                  ✰﹏﹏﹏﹏﹏﹏✰       
                *⊙_ T A L A A Q_ ⊙*

╨───────────────────── 
*┱✿ Bila Vajah Talaaq Ka Sawal Uthane Wali Per Jannat Haraam Hai_,*

┱ Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Hazrat Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Aurat bager kisi majboori ke Apne Shohar se Talaaq Ka Sawal kare us per Jannat ki khushbu Haraam Hai _,"

* Mishkaatul Masabeh-283, Ba hawala Tirmizi vagera ,*

*┱✿ Khul'a Ka Mutalba Karne Wali Aurte'n Munafiq Hai'n_,*

┱  Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Sarkare do Jaha'n Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Shoharo se alhaidgi ( Alag hona ) chahne wali aur Khul'a Ka Mutalba Karne Wali Aurte'n nifaaq Wali Aurte'n hai'n _,"

* Mishkaatul Masabeh- 282 Ba- Hawala Nasa'i,*

┱ Allah Ta'ala ne Mardo ko Aurto'n ki taraf aur Aurto'n ko Mardo ki taraf mohtaaj banaya Hai , Fitri Tor per Shadi Byaah Karne per Majboor hai'n , Shari'at ne insaan ke Fitri taqazo ko pamaal nahi kiya balki Unki ri'ayat rakhi Hai , islam ne Zina ko haraam qaraar diya Hai isliye Nikaah Karna Shar'an Mahmood aur Mustahsin hi nahi balki Baaz halaat mai Waajib Hai ,

┱ Bahut si Aurte'n mizaaj ki tez hoti hai'n ,wo Baat Baat per Mard se ladti Hai , Jo huqooq Waajib nahi unka bhi Shohar se Mutalba karti hai'n , Shohar ki na-Shukri karti hai'n, Shohar Koi Baat kahe to Talaaq ki nobat aa jati hai, Aurto'n ke is mizaaj ke peshe Nazar Shari'at ne Aurat ki Talaaq dene Ka Akhtyar nahi diya , Varna ek ek din mai Kai Kai baar Talaaq Diya karti , Nikaah Talaaq dene ke liye nahi hota , Zindagi bhar Saath nibhane ke liye hota Hai , Mard agar Talaaq de de to Talaaq ho jati hai lekin Talaaq dena islam ke mizaaj ke khilaf Hai ,
              
╨───────────────────── 
*┱✿ Talaaq Bugz Ki Cheez Hai_,*

┱ Ek Hadees mai aaya Hai k "Halaal cheezo mai Allah Ta'ala ke nazdeek Sabse zyada Bugz aur Nafrat ki Cheez Talaaq Hai _," ( Abu Daowd ) ,Jab Nibhana islam Ka mizaaj thehra to Aurat ki taraf se Talaaq Ka Sawal Uthana sarasar gair islami fayl Hai , isliye ye irshad farmaya k Talaaq ya Khul'a Ka Mutalba Karne Wali Aurte'n Munafiq hai'n ,

┱ Islam ke taqazo per na chalna aur Islam Ka daava Karna ye dogle pan ki Baat Hai , Munafiq dogla hota Hai aur andar kuchh aur zaahir kuchh  karta Hai , aur Sabse bada Munafiq wo Hai Jo Dil se Munafiq ho aur Zubaan se islam Ka daava kare , Lekin Jo Shakhs islam daavedaar Hai aur Dil se bhi Deene islam ko Haq hone Ka Aqeeda rakhta Hai Lekin Amal mai imaani taqazo per poora nahi utarta use Amal ke aitbaar se Munafiq kaha gaya Hai ,

┱ Hadees Sharif mai Bahut si Khaslato ko munafqat ki khaslat batata Hai - Ek Hadees mai irshad Hai k Jisme Chaar Khaslate hongi wo Munafiq hoga aur Jisme in me se ek khaslat hogi to uske bare mai kaha jayega k usme Munafiq ki ek khaslat Hai Jab Tak use Chhod na de , Wo Chaar Khaslate ye hai'n :--

1- Jab Uske Paas Amanat rakhi Jaye to Khayanat kare ,
2- Jab Baat kare to Jhoot bole ,
3- Jab Ahad kare to uzr kare ( Yani vaada Kar ke poora na kare )
4- Jab Jhagda kare to Galtiya'n de ,

* Bukhari v Muslim _,*
              
╨───────────────────── 
*┱✿ Talaaq Zubaan se Nikalte hi Waq'a ho jati Hai_,*

┱ _ Talaaq ke Baad Jab Gussa thanda hota Hai to Pachhtate hai'n aur Kehte hai'n k maine Talaaq ki niyat se Talaaq nahi di aur Bahut zyada Gusse mai Tha ,Ya Aurat Hamal se thi ya uski Napaaki Ka zamana Tha ,aur Ye Baat isliye zikr karte hai'n k Unke nazdeek Gusse mai ya Haalate Hamal v haiz  mai Talaaq nahi hoti ,Halanki Talaaq Ka talluq Zubaan se Hai ,Jab Zubaan se Talaaq niklegi Waq'a ho jayegi ,

"__Shohar Gusse mai ho ya Razamandi mai aur Aurat Hamal se ho ya Napaaki ke ayaam mai ho ,Bahar haal Talaaq dene se Talaaq Waq'a ho jayegi ,

┱_ Talaaq wo Cheez Hai Jo Shohar ki Zubaan se Mazaaq mai bhi nikal Jane se bhi asar Kar jati hai, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k ," Teen cheeze Esi hai'n Jinme Asal Niyat aur Mazaaq dono barabar hai'n, Yani bila Niyat ke mazaqan Zubaan se nikaalne se bhi Kaam Kar jati hai , - 1- Nikaah , 2- Talaaq, 3- Ruju Kar Lena ( Talaaq Raj'i ke Baad ) ,

* Abu Daowd ,*

┱ Jab Talaaq de bethe aur Aurte'n Shohar ko Gussa dila Kar Talaaq le bethti hai'n to Mufti ke paas Sawal le kar aate hai'n ,aur Kehte hai'n k Miya Bivi ek doosre per Aashiq hai'n ,Bivi khudkushi Kar legi , Bachche Veeraan honge ,Molvi Sahab Koi Raasta nikaliye , Bhala bechara Molvi Mufti ke bas mai nahi k Shari'at ke qanoon ko badal de , Mufti Molvi Shari'at ke qanoon batane wale hai'n, qanoon banane wale nahi ,Qanoon to Allah Ta'ala Ka Hai ,

╨───────────────────── 
          *┱✿ Ruju'i Talaaq _,*

┱ Aapas Ke Nibaah Ka Koi Raasta nahi raha aur Talaaq Deni hi ho to esa Kare k Jis Zamane mai Aurat Paak ho Yani Haiz se na ho us Zamane mai Ek Talaaq Saaf Lafzo mai de de ,is tarah se ek Ruju'i Talaaq ho jayegi ,Jiska matlab ye Hai k iddat ke andar andar Ruju karne Yani Lauta lene Ka Haq rehta Hai ,

┱ Ek Talaaq Ruju'i dene ke Baad Fir chahe to Ruju Kar le aur Ruju ke liye Aurat ki Razamandi bhi zaruri nahi Hai , Aurat chahe na chahe Mard Ruju Kar Sakta Hai , Zubaan se Sirf ye Keh dene se  k *"Maine Apni Bivi ko Lauta liya ,"* isse Ruju Sahi ho jata hai, Agar Do Gawaho ke saamne esa kahe to behtar Hai taki Ruju karne na karne ke bare mai ikhtilaf ho Jaye to Gawaho ke zariye Ruju Ka saboot Diya ja sake ,

"__ Agar Kisi ne Talaaq e Ruju'i ke baad iddat ke andar Koi esa Kaam Kar liya Jo Miya Bivi ke darmiyan hota Hai to is tarah bhi Ruju ho jayega , isko Ruju bil Fayl kehte hai'n aur Zubaan se Lauta lene ko Ruju bil qaul kehte hai'n ,

┱ Agar kisi ne Talaaq e Ruju'i dene ke Baad iddat ke andar Ruju nahi Kiya to yahi Ruju'i Talaaq Talaaq e Baa'in ho jayegi , Ab Ruju Ka Haq nahi rehta , Haa'n agar dono fir Miya Bivi banna chahte hai'n to Aapas ki Razamandi se dobara Nikaah Kar sakte hai'n,

"__ Chahiye to yahi k zarurat ke andar Sirf ek Talaaq se kaam chalaya Jaye ,Agar Talaaq ke Baad Pachhtawa ho to iddat ke andar Ruju karne Ka Haq baqi hone ki vajah se Shohar Ruju Kar sakega aur Agar Jaldi Hosh na aaya aur iddat guzar gayi to Aapas mai dobara Nikaah ho sakega ,

┱_ *Shari'at ki Asaani _,* _ Shari'at ne kitni Asaani rakhi Hai , Avval to Talaaq dene hi se Mana farmaya fir agar Talaaq dena zaruri ho to Aurat ki paaki ke Zamane mai Ek Talaaq de ,isse Gussa thanda hone aur sochne samajhne Ka khoob achchhi tarah moqa Mil Jata Hai ,Agar kisi ne Saaf Lafzo mai Ek Saath Do Talaaq de di to bhi Ruju'i hogi ,aur agar gair haamla Aurat ko paaki ke Zamane mai Ek Talaaq Saaf Lafzo mai di aur Ruju na kiya aur uske baad Jo paaki Ka zamana aaye usme ek Talaaq aur de di to wo Doosri Talaaq bhi Ruju'i hogi aur iska hukm bhi wo hoga Jo Pehli Talaaq Ka Tha ,

"__ Fir agar Teesri baar Teesri paaki ke Zamane mai Ek aur Talaaq de di to Talaaq e Muglazah hogi ,iddate Talaaq Teen Haiz Hai aur Haiz na aata ho ( Bachpan ya Budhape ki vajah se) to iddat Teen maah Hai aur Haamla ho to Hamal Khatm hone  per iddat Khatm hogi ,iddat ke andar andar Jo Talaaqe Shohar dega Waq'a hoti rehegi ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Ek Waqt Mai Teen Talaaq _,*

┱ Log Apni Jaan per bhi Zyadti karte hai'n k ek Saath Teen Talaaq ki Teeno Goliya'n Chhod dete hai'n , Shari'at Talaaq hi ki mukhalif Hai fir wo ek Saath teeno Talaaq dene ki kese ijazat de sakti Hai ,fir bhi agar Koi Shakhs ek Saath Teen Talaaq de hi de to Teeno Talaaqe Waq'a ho jati hai ,

┱ Isi tarah agar Koi Shakhs iddat guzarne se pehle mukhalif Awqaat mai teen Talaaqe de de ya har paaki ke Zamane mai Ek Talaaq diya Kare to is tarah se Teen Talaaqe Waq'a ho jati hai ,

"__ Teen Talaaqo ke Baad Ruju Ka Haq nahi rehta ,balki Aapas ki Razamandi se dobara Nikaah bhi nahi ho Sakta , Teen Talaaq pane wali Aurar Talaaq dene wale Shohar ke Nikaah mai dobara Usi soorat mai ja sakti Hai k iddat guzaar Kar kisi doosre Musalman se uska Nikaah ho ,Fir wo usse Miya Bivi Wala Kaam karne ke Baad Talaaq de de ya Mar Jaye ,iske baad iddat guzaar Kar pehle Shohar se Nikaah ho Sakta Hai , isko " Halala " kehte hai'n, 

*┱  Teen Talaaq ke bare mai Chaaro Imaamo Ka Mazhab_,*___ Baaz log ye samajhte hai'n k Ek Saath Teen Talaaqe dene se ek hi Talaaq maani jati hai aur Ruju Ka Haq baqi rehta Hai aur ise Hazrat imaam Shafa'i Reh. Ka mazhab batate hai'n ,Ye bilkul Galat Hai , Chaaro Imaamo Ka mazhab ye Hai k ek majlis mai Teen Talaaqe de ya Alag Alag Kar ke har paaki ke Zamane mai Ek Talaaq de ,Bahar haal Teeno Talaaqe Waq'a ho jati hai aur Ruju Ka Haq Khatm ho jata hai aur iske baad bager Halala ke Aapas mai dono Ka Nikaah nahi ho Sakta _,"

*┱ Faayda_,* _ Ek ya do Ruju'i Talaaq de Kar agar iddat ke andar Ruju Ka liya to is tarah se Bivi bana Kar rakhna to Jaa'iz ho jayega Magar Talaaq Khatm na hogi Kyunki agar Kabhi ek ke Baad do Talaaqe aur de di ya do ke Baad ek Talaaq aur de di to Pehli Talaaq hisaab mai lag Kar Teeno Talaaqe mil Kar Muglazah Talaaq ho jayegi aur Jo Teen Talaaqo Ka hukm Hai Wahi laagu ho jayega , Khoob Samajh Lena chahiye, Wallahu Aalam ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Teen Talaaq Ke Baad Halaala Ke Bager Dobara Nikaah nahi ho Sakta,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Rifa'a Qurazi 
Ki ( Saabqa ) Bivi Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Paas aayi aur Arz Kiya - Mai'n ( Pehle )Rifa'a ke paas thi ( Yani Unke Nikaah mai thi ) unhone mujhe Pakki Talaaq de di ( Yani Teen Talaaqe de kar juda Kar di ,Unki iddat guzarne ke Baad) Maine Abdur Rahman bin Zuber Raziyallahu Anhu se Nikaah kiya ( Unko izdewazi huqooq ada karne ke qabil nahi paya ) Unke paas esi Cheez Hai Jese Kapde Ka pallu ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mazkura Khatoon ki Baat sun Kar farmaya- Kya tum ye chahti ho k ( usse Talaaq le kar iddat guzarne ke Baad ) Rifa'a se dobara Nikaah Kar lu ?

Unhone arz Kiya- Ji Haa'n , Mai'n yahi chahti hu'n ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - nahi ( esa nahi ho Sakta , Rifa'a ke Nikaah mai Jane Ka Koi Raasta nahi ) Jab Tak Tum is Doosre Shohar se thodi lazzat haasil na Kar lo aur wo tumse thodi lazzat haasil na Kar le _,"

* Al Masabeh- 284 Ba hawala Bukhari v Muslim,*

*┱ Tashreeh_,* _ Teen Talaaqo ke Baad Aapas mai bager Halala ke dobara Nikaah bhi nahi Sakta , Lihaza  Mard ko chahiye k kisi Musalman Aurat se Nikaah Kar le Jisse Nibaah ho sake aur Aurat kisi doosre Musalman Mard  se nikaah Kar le Jiske Saath guzara ho sake ,

┱ Jab Teen Talaaq Milne wali Aurat ne iddat guzarne ke Baad kisi doosre Mard se Nikaah Kar liya aur Shohar ne Miya Bivi Wala Kaam bhi Kar liya fir Talaaq de di ya wafaat pa gaya to iddat guzaar Kar pehle Shohar se dobara Nikaah ho Sakta Hai ,

┱ Agar doosre Shohar se Sirf Nikaah ho Jaye aur Nikaah Kar ke Talaaq de de ya Mar Jaye to Pehle Shohar ke liye Halaal na hogi , Halaal hone ki ye Shart Hai k Doosra Shohar us Aurat se Miya Bivi Wala khaas Kaam bhi Kar le uske baad Talaaq de ya wafaat pa Jaye aur iddat bhi guzar Jaye ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Halaala Mai Shart Ya Mu'ahida Jaa'iz Nahi_,*

┱ Halaala Ye matlab Qata'i nahi Hai k Aurat ya Mard ko targeeb di ja rahi Hai k kisi Musalman se Khwahi na Khwahi zaroor us Aurat Ka Nikaah Kiya Jaye ,Fir usse Talaaq li Jaye Taki Pehle Shohar se Nikaah Kar le ,

┱ _ Amuman esa hota Hai k Jab Koi Shakhs Teen Talaaqe de kar Pachhtata Hai aur Mufti se maloom karne per pata chalta Hai k dobara Nikaah karne Ka bhi Koi Raasta nahi raha , Sivaye iske k kisi doosre Mard se us Aurat Ka Nikaah ho aur Halaala ki Sab Soorte poori ho to Aurat se Zid karta Hai k tu Fala Mard se Nikaah Kar le, Halanki ab wo pehle Shohar ki marzi ki paband nahi rahi , Wo Jis Musalman Mard se chahe Nikaah kare aur Jitne Mahar per Kare Usko Akhtyar Hai balki agar usne kisi Mard se Nikaah Kar liya aur usne Talaaq de di ya Mar gaya tab bhi Aurat ko Majboor nahi Kiya ja sakta k pehle Shohar se Nikaah Kar le ,

┱_ Bil farz Agar Aurat is Baat per raazi ho Jaye k iddat guzarne ke Baad kisi aur Shakhs se Nikaah Kar le fir Halaala ki Sharte poori karne ke Baad Pehle Shohar se Nikaah karne Ka izhaar Kar de Tab bhi ye Jaa'iz nahi Hai k Kisi Shakhs se ye Mu'ahida Kiya Jaye k Tum is Aurat se Nikaah Kar lo aur Halaala ki Sharte poori kar ke Talaaq de dena Taki Pehle Shohar se Nikaah ho sake ,Esa Maamla aur Mu'ahida Shar'an Mamnu Hai ,

Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Laanat farmayi Hai " Muhallil " per aur " Muhallal " per ,

*( Mishkaat Sharif)*

"_ "Muhallil " wo Shakhs Hai Jo Halaal Kar ke de Yani Jo is Shart ko manzoor Kar ke Nikaah kar le k Halaala Ke Baad Talaaq de dega , Aur " MuhallalLahu " Wo Hai Jisne Teen Talaaqe di thi ,Yani Pehla Shohar Jo ye Shart laga Kar kisi se Apni Talaaq shuda Bivi Ka Nikaah karata Hai k tum isko ek do raat rakh Kar Chhod Dena ,

┱ _Dekhiye dono per Laanat farmayi Hai, isliye Halaala ki Shart per Nikaah Karna aur karana Gunaah Hai , Lekin is tarah Shart laga Kar Kisi ne Nikaah Kara Diya aur Halaala ki Sharte poori ho gayi to Pehle Shohar ke liye Halaal ho jayegi Yani wo usse Nikaah Kar sakega Jo Aurat ki marzi se hoga , 
  
╨───────────────────── 
*┱✿ Khula'a Karne Ka Tareeqa _,*

┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ki Bivi ( Jamila Ya Habeeba ) Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Paas aayi aur Arz Kiya k - Ya Rasulallah ! Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu Jo mere Shohar hai'n Mujhe Unki aadat v Khaslat aur Deendari ke bare mai Koi naraazgi nahi Hai,

( Kyunki wo Deendaar bhi hai'n aur Akhlaaq bhi Achchhe hai'n ,is Sab  ke bavjood Meri Tabiyat Ka unse Jod nahi khata aur Unke Saath rehne ko ji nahi chahta ,is Soorat mai agar Mai'n Unke Saath rahu to Unke Huqooq zaaya hone Ka Andesha Hai ,Ek Achchhe Aadmi ke Saath rahu aur Wo akhrajaat bardasht Kare aur uske huqooq ki na ho ye na-Shukri ki Baat Hai )

Lekin Mai'n Musalman Hote hue na-Shukri ko na pasand karti hu'n ,( Lihaza Meri aur Unki Judaai ho Jaye to behtar Hai )

┱ _ Ye Sun Kar Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Kya ( Talaaq Ke Badle ) Tum uska Bagicha waapas Kar dogi ? ( Jo usne Mahar mai Diya Hai )

Jawab mai Unhone kaha k - Haa'n Mai'n waapas kar dungi ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye sun kar Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu se farmaya k Tum Baagicha qubool Kar lo ( aur iske evaz ) isko Talaaq de do _,"

* Mishkaatul Masabeh- 283 Ba hawala Bukhari*

┱ Islami Talimaat ka Asal Rukh ye Hai k Nikaah Ka Maamla aur Mu'ahida Umar bhar me Liye ho ,Isko todne aur Khatm Karne ki kabhi nobat hi na aaye ,Kyunki Judaai Ka Asar Sirf Fareeqeen hi per nahi Padta balki iski vajah se nasal v Aulaad ki tabaahi v barbaadi hoti Hai aur Baaz Awqaat khandano mai fasaad Tak ki nobat aati Hai ,

┱ Isliye Jo Asbaab aur vajah is maamle ko todne Ka sabab ban sakte hai'n islami Talimaat ne un tamaam Asbaabo ko Raaste se hatane Ka poora intezam kiya Hai ,

┱ Lekin baaz Awqaat Esi Soorte bhi pesh aati hai'n k islaah ki tamaam koshishe nakaam ho jati hai aur mil kar rehna azaab ban Jata Hai, Esi haalat mai Talluq Ka Khatm Kar Dena hi Raahat aur salaamti Ka baa'is hota Hai , isliye Shari'at ne doosre mazhabo ki tarah ye bhi nahi Kiya k Rishta har haal mai toota hi rahe , iske Liye Talaaq aur Fiskh Nikaah Ka qanoon banaya ,

┱_ Talaaq Ka Akhtyar to Sirf Mard ko Diya Jisme aadtan Fikro tadabbur aur Tahammul Ka maadda Aurat se zyada hota Hai ,Lekin Aurat ko bilkul is Haq se mehroom nahi rakha k wo Shohar ke zulm v Sitam sehne per Majboor ho ,balki usko ye Haq Diya k Apne Shohar ko kisi vajah se itna na pasand karti ho k uske Saath kisi qeemat per bhi Nibaah Karna mumkin na ho to iska behtreen tareeqa to yahi Hai k Wo Shohar ko samjha bujha kar Talaaq dene per amaada Kar le , Esi Soorat mai Shohar ko bhi chahiye k Jab Wo Nikaah ke riahte ko khushgawari ke Saath nibhta na dekhe aur ab ye Mehsoos kare aur ye meahsoos Kare k ab Rishta dono ke liye naqabile bardasht bojh ke Siva kuchh nahi raha to wo Sharafat ke Saath Apni Bivi ko Ek Talaaq de kar Chhod de Taki iddat guzarne ke Baad wo jaha chahe Nikaah kar sake ,

┱_ Lekin agar Shohar is Baat per raazi na ho to Aurat ko ye Akhtyar Diya gaya Hai k Wo Shohar ko kuchh maali mu'awza Pesh Kar ke usse Talaaq haasil kar le , Umuman is garz ke liye Aurat Mahar maaf kar deti Hai aur Shohar use qubool Kar ke Aurat ko azaad Kar deta Hai ,iske Liye Shari'at e islami mai Jo Khaas tareeqa muqarrar Hai use Khula'a kaha Jata Hai ,Nikaah aur Doosre Shara'i mamlaat ki tarah Khul'aa bhi ijaab v qubool ke zariye Anjaam paya Jata Hai , Lekin agar zyadti Mard ki taraf se ho to Fuqha Ka is per ittefaaq Hai k Shohar ke liye Mu'awza Lena Jaa'iz nahi , use chahiye k Mu'awza ke bager Aurat ko Talaaq de de ,Esi Soorat mai agar Mard Mu'awza Lega to gunahgaar hoga ,

┱_ Agar Koi Aurat Maal ke badle mai Talaaq maange to Shohar per Waajib nahi k uski Baat qubool kare , Yaha ye Baat qabile zikr Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ko Baag qubool Kar ke Ek Talaaq dene ko farmaya , Maal ke badle Jo Talaaq di Jaye wo Baa'in hoti Hai ,Chahe ek ho ya do ho , Shara'i Lafzo mai Baa'in Talaaq Ke Baad agar Fir Aapas mai Sulah ho Jaye to Aapas mai dobara Nikaah Kar sakte hai'n, Teen Talaaq dene ke Baad Halaala ke bager dobara Nikaah bhi nahi ho Sakta ,isliye Teen Talaaq se Mana farmaya aur Maal le kar Talaaq di Jaye to Wo Ruju'i isliye nahi hoti k agar Shohar Ruju Kar lega to Aurat ki Jaan na chhotegi aur uska Maal zaaya jayega ,

"__ Yaha ye Baat bhi qabile tavajjoh Hai k Jab Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ki Bivi ne Apni napasandi Ka izhaar kiya to Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Unki naqawari ke peshe Nazar Nikaah Fiskh nahi farmaya balki Shohar ko Mahar mai Diya hua Baagicha waapas dila kar Talaaq dilaye ,

╨───────────────────── 
*┱✿ _Chand Aham Masa'il ,*

*┱ Masla-1* _ Jab Aurat ne Shohar se kaha k Jo mera Mahar Waajib hai uske badle Meri Jaan Chhod de ya is qadar Rupiye ke badle mujhe Chhod de , Fir iske Jawab mai Mard ne Usi majlis mai Keh Diya k " Maine Chhod di ," to isse ek Baa'in Talaaq Waq'a ho gayi aur Mard ko Ruju Ka Haq nahi raha ,

"__Mard Aurat Ka Sawal Jawab  dono ek hi Majlis mai hone chahiye , Agar Aurat ne Apni Baat Kahi aur Mard ke jawab dene se pehle dono mai se koi Waha'n se uth gaya to Baat Khatm ho gayi ,Ab agar Mard Kahe k Talaaq deta hu'n to Talaaq ho jayegi Magar Aurat per kuchh ( Dena ) Waajib nahi hoga ,Aur Qanoon Talaaq Ke mutabiq Saaf Lafzo mai ek ya do Talaaq dega to Ruju Ka Haq hoga aur Teen Talaaqe dega to Muglazah Talaaq ho jayegi, Ye Tafseel is Soorat mai Hai jabki Aurat ne pehle peshkash ki ho ,

*┱_ Masla-2* _ Aur agar Mard ne Baat kehne mai Pesh qadmi ki aur usne kaha k Maine tujhse itni raqam per ya Mahar ki evaz Khula'a kiya aur Aurat ne kaha k Maine qubool kiya to Khula'a ho gaya , Jo Talaaqe Baa'in ke hukm mai hoga ,

"__Agar Aurat ne Usi jagah jawab nahi Diya aur Waha se uth khadi Hui iske baad manzoori di ya qubool hi nahi Kiya Maslan bilkul khamosh reh gayi Ya Mard ki pesh kash ko radd Kar diya to isse Koi Talaaq nahi hogi ,Aur agar Mard ki pesh Kash ke Baad Aurat Apni jagah bethi rahi aur Mard Apni Baat Keh Kar chalta bana aur Aurat ne uske uth Jane ke Baad qubool kiya tab bhi Khula'a ho gaya ,

*┱-Masla-3*_ Jab Mard ne kaha k Maine tujhse Khula'a kiya ,Aurat ne kaha k Maine qubool kiya, Rupiya Paisa ya Mahar ki waapsi Ka ya baqiya Mahar ko evaz mai lagane Ka Koi zikr na hua tab bhi Jo Maali Haq Mard Ka Aurat per Hai ya Aurat Ka Maali Haq Mard per ho Sab maaf ho gaya ,

"__Albatta agar Aurat poora Mahar pa chuki Hai to is Soorat mai uska waapas Karna Waajib nahi ,Albatta iddat Khatm hone ke Tak Naan Nafqa aur Rehne ka Makaan Aurat ke liye Dena Shohar per Laazim hoga , Haa'n agar Aurat ne is Sakhawat se kaam liya k Jaan chhudane ke liye ye bhi Keh Diya k Mujhse Khula'a Kar le Roti Kapda bhi iddat ke Dino mai tujhse na lungi ,to wo maaf ho gaya ,

*┱ Masla-4 _* Agar Mahaz Raqam ki evaz Khula'a kiya ,Maslan Yu kaha k Hazaaro Rupiye ke evaz mai Khula'a karta hu'n aur Aurat ne qubool kiya to ye Hazaaro Rupiye Aurat per Waajib ho gaye , Chahe isse pehle Apna Mahar let chuki ho ya abhi vasool Karna baqi ho , Agar abhi Mahar na liya ho wo na milega Kyunki Khula'a ki vajah se maaf ho gaya aur Aurat per Laazim hoga k Shohar ko Tay Shuda Hazaar Rupiye ada kare ,

*__Wallahu Aalam __,*

*┱ Masla -5_*_Aurat ne kaha k Mujhe Talaaq de,Mard ne Jawab mai kaha k Tu Apna Mahar vagera Sab haq maaf Kar de to Talaaq de du , is per Aurat ne kaha k Achchha maaf kiya , ya likh Kar de diya ,Fir Shohar ne Talaaq nahi di ,To kuchh maaf nahi hoga , Agar Shohar isi majlis mai Talaaq de to Aurat Ka maaf Karna motbar hoga Varna wo Apna Haq vasool Kar sakegi ,

*┱ Masla-6_* Agar Mard ne zabardasti maar peet Kar Aurat ko Khula'a Karne per Majboor Kar diya aur uski Zubaan se Khula'a karne Ka lafz kehalwa liya ya likhe hue Khula'a Naame per Angutha lagwa liya ya Dastkhat karwa liye aur kaha k Khula'a karta hu'n, To isse Talaaq Waq'a ho jayegi Lekin Aurat per Maal Waajib nahi hoga ,Aur na Uska Koi Haq maaf hi hoga, Agar Mahar baqi Hai to Shohar per uska ada Karna Waajib rahega,

*┱ Masla -7_* Agar kisi Shohar ne Aurat ki jaanib se Kaagaz likh liya k Maine Mahar ya Apne digar huqooq ke evaz mai Talaaq Lena manzoor Kar liya aur use dikhaye bager kuchh aur Baat samjha Kar Dastkhat karwa liye ya Angutha lagwa liya to kuchh maaf nahi hoga ,

"__ Albatta agar Shohar ne kaha k Maine Talaaq de di ya Khula'a kiya Hai , to Talaaq Waq'a ho jayegi, Agar Shohar ne Court mai Kaagaz pesh Kar ke Duniya wale Haakimo ke Yaha maafi Ka faisla karwa liya to wo motbar nahi hoga Aur Qayamat ke Din Jab Roze Jaza ke waqt jab Allah Ta'ala ke saamne peshi hogi to us Maal ke badle Nekiya'n deni hogi ya Aurat ke gunaah Apne sar per lene honge ,

┱ Ye Sab Tafsilaat humne ye batane ke liye likhi hai'n k Khula'a dono ke darmiyan Tay hone Wala Maamla Hai , Koi ek Fareeq khud se faisla nahi kar Sakta ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Aaj Ke Daur Ke Judge Ke Gair Shara'i Faisle - Khula'a aur Nikaah Fiskh ke bare mai,( ZaroorPadhiye)*

┱ - Aaj  ke Zamane mai Hukkaam ( Judge ) ne ye Tareeqa Akhtyar Kar rakha hai k jaha'n Aurat ne Court mai arzi lagayi ,istegasa kiya Nikaah Fiskh karne Ka faisla de diya aur iska Naam Khula'a rakh diya, Ye Sarasar gair Shara'i tareeqa Hai ,

"__Baaz martaba Shohar Tak Samman pahunchta bhi nahi ya Wo Adalat mai haazir hota Hai aur Bivi ko Bivi ki tarah Adaygi ke huqooq ke Saath rakhna chahta Hai fir bhi Baaz Judge Nikaah Fiskh Ka faisla de dete hai'n ,aur Aurat ki napasandi hi ko  Khula'a Ka Haq istemal karne ki daleel bana Kar Judaai Ka faisla dete hai'n ,Ye Tareeqa Duniya ke Hukaamo ke qanoon se chahe Jod khata ho Magar Shari'at ke bilkul khilaf Hai, Ye na to Shara'i Khula'a Hai ( Kyunki faisla Mard ki marzi ke bager Diya Jata Hai ) aur na is tarah Fiskh Kar dene se Nikaah Fiskh hota Hai , Aur ese Faisle ke Baad doosre Mard se Nikaah Karna Durust nahi hota , *( Khoob Samajh lijiye )*

┱ Baaz Halaat mai Muslim Haakim ko Nikaah Fiskh Kar dene Ka Haq Hai ,Magar makhsoos Asbaab aur Makhsoos Tareeqe ke bager Nikaah Fiskh Kar dene se Nikaah Fiskh nahi ho Sakta ,

*┱_ Wo Asbaab Jinki Vajah se Nikaah Fiskh Karne Ka Akhtyar Hai, Wo ye hai'n --* 
1- Shohar ka Pagal hona ,
2- Muta'anat hona Yani Jo Naan Nafqa na de ,
3- Na Mard hona ,
4- Gumshuda hona ,Jiski Maut aur Hayaat Ka pata na ho ,
5- Gair Mafqood hona ya Gaayab hona Yani Jiski Zindagi Ka ilm to Hai Magar pata nahi k kaha'n Hai ,

"__ in Asbaab ki buniyad per Makhsoos Sharto aur Hudood v Quyood ke Saath Muslim Haakim Nikaah Fiskh Kar Sakta Hai Jo Kitaab " Al Hilatun Naajzah " mai likhi Hai , Yaad rahe k Kaafir Judge ( Qadyani ,Isaai vagera ) ke Fiskh Karne se Nikaah Fiskh na hoga , Agarche Asbaab v Shara'it Ka lihaaz karte hue Fiskh Kare ,

*Wallahu Aalam _,*

╨───────────────────── 
*┱✿ Iddate Talaaq aur Iddate Wafaat_*

┱ _Rivayat Hai k Sahabiya Subi'a Raziyallahu Anha Ke Batan se Unki Shohar ki wafaat ke Chand Din ke baad Bachcha paida ho gaya ,Wo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir Hui aur ( Chunki Wiladat hone ki vajah se iddat Khatm ho chuki thi) isliye unhone kisi doosre Mard se Nikaah ki ijazat chaahi , Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ijazat de di aur unhone Nikaah Kar liya _,*

* Mishkaatul Masabeh-288 Ba hawala Bukhari,*

┱_ Jab Koi Mard Apni Bivi ko Talaaq de de ya Mar Jaye to Aurat per iddat guzaarna Laazim Hota Hai, Yani Shari'at ke usool ke mutabiq makhsoos v muqarrar ayyaam guzar Jane Tak kisi doosre Mard se Nikaah karne ki ijazat nahi hoti aur iske alawa bhi iddat ke dauran kuchh aur Pabandiya'n aa'id ( Lagu ) ho jati hai ,

┱_ Jab Kisi Aurat ko Talaaq ho Jaye to dekha jayega k ye Shohar ke yaha'n gayi Hai ya nahi gayi Hai ,Agar Shohar ke yaha'n nahi gayi Yani Miya Bivi mai yakjaa'i nahi Hui aur Sirf Nikaah ke Baad Talaaq ho gayi to Esi Aurat per Koi iddat Laazim nahi ,Jesa k Qur'an e Paak mai ishara Hai --

"__ Ey imaan Walo Jab Musalman Aurto'n se Nikaah Karo Fir Tum unko qabl ( pehle ) haath lagane ke Talaaq de do to Tumhare liye un per Koi iddat nahi Jisko tum shumaar karne Lago to unko kuchh mata'a de do aur khoobi ke Saath unko rukhsat Kar do _," *( Tarjuma- Surah Al Ahzaab)* 

┱_ Aur Nikaah ke Baad Miya Bivi mai yakjaa'i ho chuki Hai to dekha jayega k Aurat ko Hamal Hai ya nahi , Agar Aurat ko Hamal ho to uski iddat Waz'a Hamal per hogi Yani jab tak Bachcha Paida na ho Jaye us Waqt Tak iddat mai rahegi,  Chahe ek Din Baad Bachcha Ho jaye ,Chahe Mahine lag Jaye ya Saal ya isse bhi zyada lag Jaye , (Yaad rahe Shari'at mai iddat ki muddat zyada se zyada do saal Hai ) ,

"_Aur agar Hamal na ho to uski iddat ye Hai k Teen Maahwari guzar Jaye ,iske Liye Koi muddat muqarrar nahi Hai , Jitne Din mai Teen Haiz guzre utne Din iddat Hai , *- iddat Ka madaar Hamal hone ki Soorat mai Waz'a Hamal per aur Hamal na hone ki Soorat mai Teen Haiz guzar jane per Hai ,*

*┱ Masla_* Agar Kisi Ko esi Haalat mai Talaaq Hui k use ab Tak Haiz nahi aaya ya zyada Umar hone ki vajah se Haiz aana band ho gaya to uski iddat Teen Maah Hai ,Ye Teen Maah Chaand Ke Hisaab se Shumaar honge , Qur'an e Paak mai Surah Baqrah aur Surah Talaaq mai Masla Bayan farmaya Hai,

┱_ Ab rahi Wo Aurat Jiska Shohar wafaat pa chuka ho uski iddat mai ye Tafseel Hai k agar wo Hamal se hai to jab bhi Waz'a Hamal ho Jaye us Waqt uski iddat khatm ho jayegi ,Agarche Shohar ki wafaat ke do Chaar hi guzre ho ,ya isse bhi Kam Waqt guzra ho , Aur agar Hamal ki muddat bad Jaye to uske baqadar iddat ke ayyaam bad jayenge aur agar ye iddat Hamal se nahi Hai to uski iddat Chaand ke aitbaar se Chaar Mahine Das Din Hai ,Haiz aata ho ya na aata ho ,

*┱_ Masla_* Jis Aurat Ka Nikaah usoole Shari'at ke mutabiq kisi Musalman Haakim ne Fiskh kiya ho us per bhi iddat Laazim Hai ,aur use bhi Iddate Poori karni hogi ,
_Jis Aurat ne Shohar se Khula'a kar li ho use bhi Iddate Talaaq guzaarni hogi ,

*┱ Masla_* Jis Aurat ko Talaaq de di gayi ho uske iddat ke Zamane Ka naan Nafqa aur Rehne ka Ghar Talaaq dene wale Shohar ke Zimme Hai basharte k Aurat Shohar ke diye hue us Ghar mai iddat guzaare Jisme Talaaq se pehle rehti thi ,Agar Maa'n Baap ke Ghar chali Jaye to Shohar per ayyaame iddat Ka naan Nafqa waajib nahi hoga ,Yaad rahe Shohar hi ke Ghar per guzaarna laazim Hai , Jaha'n rehte hue Talaaq Hui aur Talaaqe Baa'in ya Muglazah ho to Shohar se Parda kar ke rahe ,

"__ Agar Aurat Ayyaame iddat Ka naan Nafqa maaf Kar de to maaf ho jayega ,

*┱ Masla_* Jis Aurat Ka Shohar wafaat pa Jaye us Aurat ke liye Shohar ke Maal mai miraas to Hai Lekin iddat Ka naan Nafqa nahi Aur agar Mahar Vasool na hua ho aur Maaf bhi nahi kiya ho to Hissa e Miraas se Pehle Mahar Vasool karegi ,

*┱ Masla_* Agar Kisi Aurat se is Shart per Nikaah kiya Tha k Mahar na milega ya Nikaah ke Waqt Mahar Ka Koi tazkira na hua ho Fir Miya Bivi Wali Yakjaa'i hone se pehle Talaaq de di to Shohar per Laazim Hai k us Aurat ko Chaar Kapdo Ka ek Joda Apni haisiyat ke mutabiq de , Kapde ye hai'n - Ek Kurta ,Ek Pajaama ya Salwaar ,Ek Dupatta aur Ek badi Chaadar Jisme sar se Paanv Tak lipat sake ,Aur Agar Mahar muqarrar kiye bager Nikaah karne ke Baad Shohar ko Miya Bivi Wali Tanhaai bhi haasil ho gayi ya Wo Mar gaya to Mahare Misl Dena hoga ,Yani itna Mahar hoga Jitna us Aurat ke Maayke ki us jesi Aurto'n Ka Mahar hua karta Hai ,

*┱ Masla_* Jab Kisi Aurat ko Talaaq ho Jaye ya Shohar wafaat pa Jaye uski iddat Usi Waqt se Shuru ho jati Hai ,agar iddat guzarne ke Baad Aurat ko Talaaq ya Shohar ki Maut Ka pata Chala to Shar'an iddat guzar gayi ,mazeed iddat guzaarne ki zarurat nahi ,

*┱ Masla_*  Agar kisi esi Aurat ko Talaaq Hui jise Haiz aana Shuru nahi hua Tha uski vajah se Mahino ke Hisaab se iddat guzaarne lagi ,Fir Teen Maah guzarne see pehle Haiz aa gaya to ab uski iddat Teen Haiz hogi ,Mahine Ka hisaab khatm ho jayega ,Jab teen Haiz poore ho Jaye us Waqt iddat khatm hogi ,

*┱ Masla_*  Haiz ke Zamane mai Talaaq Dena Jaa'iz nahi Hai Magar Kisi Shari'at Ka Khayal na kiya aur Haiz ke Zamane mai Talaaq de di to Talaaq Waq'a ho jayegi aur uski iddat bhi Teen Haiz hogi aur ye Teen Haiz us Haiz ke alawa honge Jisme usne Di Hai Yani Jis Haiz mai use Talaaq di gayi wo Haiz iddat mai shumaar nahi hoga ,

*┱ Masla_*  Kisi ne Apni Bimari ke Zamane mai Talaaqe Baa'in de di aur Talaaq ki iddat abhi poori nahi hone payi thi k wo Mar gaya to dekha ye jayega k Talaaq ki iddat ki muddat zyada Hai ya Maut ki iddat ki muddat zyada Hai,Jis iddat mai zyada din lagenge wo iddat poori kare aur agar Bimari Talaaq Ruju'i di Hai aur abhi Iddate Ki na guzri thi k Shohar Mar gaya to us Aurat per wafaat ki iddat Laazim Hai ,

*Wallahu Aalam __,*

╨───────────────────── 
*┱✿ Iddat Ke Ayyaam Mai Sog Karna Bhi Waajib Hai-*

┱ _ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Aurat Ka Shohar wafaat pa gaya wo ( iddat guzarne Tak ) asfar se ranga hua aur khushbu wali mitti see ranga hua Kapda na pehne aur Zever bhi na pehne aur Khizaab bhi na lagaye aur Surma na lagaye ,"

* Mishkaatul Masabeh-289 Ba hawala Abu Daowd v Nasa'i,*

*┱ Tashreeh _,* Jab Aurat ko Talaaq ho Jaye ya uska Shohar wafaat pa Jaye to iddat khatm hone Tak usko Usi Ghar mai rehna zaruri hai Jisme Shohar ke Nikaah mai Hote hue Aakhir Waqt Tak raha karti thi, us Ghar ko Chhod kar doosre Ghar mai Jana Jaa'iz nahi Hai ,Bahut si Aurte'n Shohar ki Maut Hote hi ya Talaaq Hote hi Maayke chali jati hai'n ,Ye Khilafe Shara'a Hai aur gunaah Hai , Na uska Jana Jaa'iz Hai ,na Sasural walo ko usko nikaalna Durust Hai ,

┱ Albatta Jo Aurat Beva ho gayi ho aur uske Naan Nafqe Ka Koi intezam na ho to kisi hagah Kaam kaaj Kar ke rozi haasil karne ke liye Ghar se Bahar ja sakti Hai Lekin Suraj chhipne se pehle pehle Usi Ghar mai aa Jaye Jisme Shohar ke Saath rehti thi,

┱ Iddat ke dauran kisi ek hi kamre ya kothri mai bethe rehna zaruri nahi Hai ,na ye Koi Masla Hai ,Jesa k Aurte'n samajhti hai'n ( balki Ghar mai rehte hue Poore Ghar mai chale fire is per kuchh pabandi nahi Hai ),

┱ _ Jis Aurat ko Ruju'i Talaaq mili ho iddat ke Dino mai usko bhi Ghar se nikalna Durust nahi Hai ,Wo bhi Shohar ke Ghar mai iddat guzaare , Jo Aurat iddat mai ho ghar se nikalne ki pabandi ke Saath us per Sog karne ki pabandi bhi aa'id ki gayi hai , Zaibo Zeenat ,Banaav singaar tark karne ko Sog kehte hai'n ,

┱_ Chunki iddat ke Zamane mai kisi doosre se Nikaah karna Durust nahi aur Banaav singaar ki zarurat Shohar ke Liye hoti Hai,isliye iddat ke Zamane mai Sog karne Ka hukm Diya gaya, Jiska matlab ye Hai k Aurat esa libaas aur esa Banaav singaar rang dhang Akhtyar na kare Jisse uski taraf Mardo ki Tabiyat ragib ho , Lihaza iddat guzarne wali Aurat ke liye Laazim Hai k Bhadakdaar Kapda na pehne ,Khushbu na lagaye , Khushbu wale Kapde na pehne , Zever istemal na kare ,Baareek daanto ki kanghi se Baal na suljhaye aur Sar mai Tel na daale aur Surma na lagaye ,Sar dhona ,Gusl karna Durust Hai Lekin Khushbu daar Sabun vagera istemal na kare , Jis Aurat per Sog Waajib Hai use paan Khana ,Phool pehanna ,Mehndi lagana ,Hont aur Nakhoon per surkhi lagana Durust nahi Hai ,

*┱_ Masla_* Sog Karna Hukme Shara'i Hai ,Shohar ke Marne ya Talaaq v Khula'a ke zariye isse chhutkara haasil hone se Agar Aurat ko Khushi bhi Hui ho tab bhi Sog Karna Waajib hai ,

*┱ Masla_,* Agar Court ke zariye Nikaah Fiskh Kar Diya ho ( aur Wo Shara'i usool ke mutabiq fiskh ho gaya ho ) to Esi Aurat per bhi iddat aur Sog Waajib Hai ,

*┱ Masla_,* Agar Na-baalig Ladki ko Talaaq mil gayi ya uska Shohar Mar gaya to us per Sog Waajib nahi Hai ,

*┱ Masla_,* Jis Aurat ko Talaaq Baa'in ya Talaaqe Muglazah mili ho us per ye bhi Waajib Hai k Zamana e iddat mai Talaaq dene wale Shohar ke Ghar per rehte hue usse Parda Kare aur Jisko Talaaqe Ruju'i mili ho wo zebo Zeenat se rahe ,Sog na kare ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Zamana E Jahiliyat Mai ( islam se Pehle ) iddat Kese Guzari Jati Thi,*

┱ _ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ka Bayan Hai  k Ek Sahabi Khatoon Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir Hui aur Arz Kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Meri Ladki Ka Shohar faut ho gaya hai aur uski Aankho mai takleef hai ,Kya hum uski Aankho mai Surma laga sakte hai'n ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- nahi !

Do ya Teen baar yahi Sawal v jawab hua , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne har baar yahi farmaya nahi laga sakte , iske baad Rahmate Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k -
( Shari'at e islam mai ) ye iddat aur Sog ke Chaar Maah aur Das Din hai'n. ( Iski pabandi mushkil maloom ho rahi Hai ) Halanki Jahiliyat ke Zamane mai Jab kisi Aurat ka Shohar Mar Jata To Poore ek saal iddat guzaarti thi aur ek saal khatm ho Kar jab Doosra saal lagta Tha to ( Ount vagera ki ) mengniya'n fenkti thi _,"

* Mishkaatul Masabeh-288 Ba hawala Bukhari v Muslim,*

*┱ Tashreeh_,* _Islam se pehle Zamana e Jahiliyat mai Mukhtalif ilaaqo aur qaumo mai Shohar ke Mar Jane per uski Beva per tarah tarah ke ahkaam aa'id kiye Jate they ,Hinduo mai to ye qanoon Tha k Beva ko Apne murda Shohar ke Saath zinda jal Jana padhta Tha ,isko Sati hona kehte they ,aur Arab mai ye Tareeqa Tha k Jab Aurat Ka Shohar Mar Jata Tha to ek saal usko ghutna hota Tha, Jiski Tafseel Sunan Abu Daowd mai is tarah Hai ,

┱ _ Jab kisi Aurat ka Shohar Mar Jata Tha to saal bhar ke liye ek Chhoti si Kothri mai dakhil ho jati thi aur badtareen Kapde pehan leti thi ,aur Saal guzarne Tak na Khushbu lagati thi na aur Koi Cheez ( Safaai suthraai ki ) Apne Badan se chhuwati thi, Jab saal khatm ho jata to koi chhar paya( Jaanwar) Gadha ,Bakri ya Parinda uske paas laya Jata Tha Jisse wo Apni Sharm ki jagah ko ragadti thi ,( Ye Kaam Totke ke Tor per karti thi aur isko musibat door karne Ka zariya samjha Jata Tha)

┱ Chunki saal bhar Tak badhaali mai Reh Kar uske Badan mai Zehreele asraat paida ho Jate they,isliye jis Jaanwar se wo Apne Jism ka makhsoos hissa ragadti thi aksar Mar Jata Tha, iske baad ( Kothri se ) nikalti aur usko Ount vagera ki mengniya'n di jati thi Wo un mengniyo'n ko aage pichhe fenkti thi, isse logo ko maloom ho jata Tha k uski iddat guzar gayi hai aur isse ye faal Lena bhi maqsood Tha k musibat fenk di , Jesa k ye mengniya'n fenki ja rahi Hai , iske baad Apni marzi ke mutabiq Khushbu vagera istemal karti thi ,

* Sunan Abu Daowd,*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jahiliyat ki ye Pabandiya'n Yaad dila Kar farmaya k islam ne Sirf Chaar Maah Das Din ki iddat aur Sog rakha hai, Jahiliyat ki kesi kesi musibato se tumhari Jaan chhudayi Hai , Fir bhi islam ke qanoon ki paasdari se bachne Ka Raasta nikaalna chahte hai'n ,

┱_ is Hadees se maloom hua k Aankh mai takleef hone ke bavjood Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne iddat wali ko Sog mai Surma lagane ki ijazat nahi di , Hadees ki Sharah likhne wale Ulmao ne bataya Hai k esa maloom hota Hai k us Aurat Ka ilaaj surme ke bager ho Sakta Tha ,aur Surma Bator Zeenat ke lagana chahti thi, isliye Mana farmaya , Kyunki Umme Salma Raziyallahu Anha ka Fatwa Hai ( Jo Sog wali Hadees ki Raavi hai'n ) k Sog wali Aurat ilaaj ki majboori se Raat ko Surma laga sakti Hai ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Beva Ho Jaye to Doosra Nikaah Kar le , isko Ayb Samajhna Jahalat hai_,*

┱ _ Doosre Mazhabo mai ye ayb ya bura samjha Jata Hai k Shohar ki Maut ke baad Aurat kisi doosre Mard se Shaadi Kare , Har Waqt Ka jalaapa aur Saas Nando ke taane usko ba izzat Zindagi guzarne nahi dete they ,

┱_ Mazhabi qanoon aur Qaumi rivaajo ke mutabiq Bewa hi poori Zindagi guzaarna laazim Tha , Chahe Na-baalig Ladki Bewa ho Jaye aur Chunki Shohar ki Arthi ke Saath chalna Mazhabi Masla Tha aur Sab Nafrat aur hiqarat Ka bartaav karte they ,isliye Chahe na chahe Shohar ki Arthi ke Mai kood padti thi aur zinda jal Jane Nafrat ki Zindagi se behtar samajhti thi,

┱_ Lekin islam ne na Sirf ijazat di balki targeeb di aur mustahab v mustahsan balki Bahut se Halaat mai Waajib qaraar diya k iddat guzarne ke Baad Aurat doosre Mard se Nikaah Kar le, Wo Mar Jaye to teesra Shohar Kar le ,Wo bhi Mar Jaye to chothe Mard ki joziyat mai aa Jaye, Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne is per Amal Kar ke dikhaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ki aksar Biviya'n Bewa thi Jinke pehle Shohar faut ho chuke they , Unme Baaz wo thi Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam se pehle Do Shoharo ke Nikaah mai Reh chuki thi ,

┱_ Aaj Kal bhi Bahut si qaumo mai ( Halanki inme kuchh Musalman bhi kehlati hai'n ) Bewa ki Doosri Shaadi ko ayb ya bura samjha Jata Hai aur Jo Bewa ho jaye Zindagi bhar yu'n hi bager Shohar bethi rehti hai'n , Khuda ki panaah Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Jo Kaam Kiya ho use ayb samjhna Bahut badi Jahalat Hai , isse imaan salb ho jane Ka khatra Hai , Jin logo ke ese khayalaat hai'n wo tauba Kare , Islam ne Aurat ko bada martaba dilaya aur usko aizaaz v ikraam se nawaza Hai , Pasti se nikaal Kar usko bulandi ataa ki Hai Lekin Afsos Hai k Aurte'n ab bhi islam ke ahkaam ( Jo Rehmat Hai ) ko Chhod kar Jahiliyat ki taraf daud rahi hai'n ,

╨───────────────────── 
╨───────────────────── 
*┱✿ Shohar Ke alawa Kisi Ki Maut Per Sog Karna _,*

┱ _ Hazrat Abu Salma Raziyallahu Anhu ki Sahabzadi Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ne Bayan farmaya k Jab Ummul Momineen Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha ko ( Unke Walid ) Hazrat Abu Sufiyaan Raziyallahu Anhu ki Maut ki khabar pahunchi to unhone Teesre Din Khushbu mangayi Jo zard rang ki thi aur Apni Baanho aur rukhsaro per mali aur farmaya k--
"_ mujhe iski zarurat na thi ( Lekin is dar se kahi teen din se zyada Sog karne waliyo mai shumaar na ho jaau'n Maine Khushbu lagayi ) Maine Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue Suna Hai k Esi Aurat ke liye Jo Allah per aur Akhirat ke din per imaan rakhti ho ye Halaal nahi hai k ( Kisi Mayyat Per ) Teen Din Teen Raat se zyada Sog kare Sivaye Shohar ke k us ( ki Maut ho Jane ) per Chaar Maah Das Din Sog Kare __,"

*🗂 Sahih Muslim - 1/487 ,*

*┱ _Tashreeh _* _ Jis Kapde se Mardo ko kashish hoti ho usko na pehne aur Khushbu,Surma ,Mehndi aur Zaibo Zeenat ki Doosri cheeze tark karne ko Sog kehte hai'n , Kya Shohar ke alawa Kisi ki Maut per Sog karne ki gunzaish Hai ? Agar gunzaish Hai to Kitne Din Sog kiya ja sakta Hai ? Iska Jawab is Hadees mai Diya gaya Hai k Shohar ke alawa doosre kisi azeez qareeb ( Beta ,Baap ,Bhai vagera ) ki Maut per bhi Aurat ko Sog karne ki ijazat Hai Lekin Sirf Teen Din Teen Raat Tak Sog Kar sakti Hai, isse zyada Sog Karna Halaal nahi Hai ,

┱_ Aaj Kal ek badi musibat Hai k Amal karne ke liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke A'amaal v Aqwaal ko saamne nahi rakha Jata balki Rivaaj aur Tabiyat ke taqazo per chalte hai'n, Shohar ki Maut per Sog karne ke liye kaha Jata To usko bura maanti Hai ,balki iddat ke Zamane mai Ghar mai rehne ki Shara'i pabandi ki bhi khilaf varzi karti hai'n aur Khud se sog karne per aaye to Shohar ke alawa Kisi doosre Rishtedar ki Maut per Hafto Mahino Sog Kar leti hai'n , Deeni Ahkaam ko pashe pusht daalne Ka ye mizaaj Bahut bura Hai , iski vajah se gunaho mai izafa hota hi Chala Jata Hai,             

╨───────────────────── 
*┱✿ Talaaq ho Jaye To Bachcho ki Parwarish Kon Kare,*

┱ _ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Ek Aurat ne arz Kiya- Ya Rasulallah ! Beshak ye Jo mera Beta hai, Mera Pet iske Liye Bartan reh chuka Hai aur Meri chhaati iske Liye Mashkiza rahi Hai ( Jisse ye doodh pita raha Hai ) aur Meri Goad iske Liye Hifazat ki jagah rahi Hai aur ab maajra ye Hai k iske Baap ne mujhe Talaaq de di Hai aur isko Mujhse alhida karna chahta Hai,

Iske jawab mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k - Tu iski Parwarish ki zyada mustahiq Hai Jab Tak k tu Nikaah na Kar le _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh - 293 Ba hawala Ahmad v Abi Daowd,*

*┱ Tashreeh_,* Allah Ta'ala ne insaano mai tawalid aur tanasul Ka Silsila Jaari rakha hai, Bachche Nadaan na samajh aur Za'ief paida Hote hai'n, Unki Parwarish Maa'n Baap ke zimme ki gayi Hai ,Wo Shara'n bhi Unki Parwarish ke mukallif hai'n aur taba'i Tor per bhi , Bachche Maa'n Baap ke saaye mai hi palte badte hai'n aur falte foolte hai'n ,

┱_ Lekin kabhi Shari'at ke mizaaj ke khilaf Miya Bivi Judaai Ka Kaam Kar bethe Yani dono mai alhaidgi ya Talaaq ho Jaye to isme Jaha'n aur Kai qism ki Takleefe saamne aati hai'n Unme Bachcho ki Parwarish Ka Masla bhi ek musibat ban Jata Hai, Shari'at ne iske bare mai bhi Hidayat di Hai aur ahkaam bataye hai'n ,

┱ _ Aulaad ki Parwarish ke liye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ye zaabta batlaya Hai k Bachcho ki Maa'n Parwarish ki zyada mustahiq Hai Basharte k kisi Shakhs se Nikaah na Kare, Hadees ki Sharah likhne wale Ulmao ne bataya Hai k agar Aurat bilkul kisi se Nikaah na Kare to Haq Parwarish milega aur agar kisi ese Shakhs se Nikaah Kar le Jo Bachche Ka Mahram ho Maslan Bachche Ka chacha ho tab bhi Maa'n Ka Haq Parwarish saaqit na hoga , Kyunki Bachche Ka Mahram khud usko pyaar Muhabbat se rakhega aur uske Nikaah mai Jane ke Baad Bachche ki Maa'n uski dekh bhaal mai lagegi to naye Shohar ko naqawari na hogi ,

┱_ Albatta agar Bachche ki Maa'n kisi ese Shakhs se Nikaah Kar le Jo Bachche Ka Mahram na ho to uska Haq Parwarish saaqit ho jayega , Kyunki wo Shakhs uski Parwarish mai lagne per aitraaz Karega aur ye Keh Sakta Hai k tu mere huqooq Ada nahi karti ya mere huqooq mai iski vajah se Farq aata Hai , Mumkin Hai k Wo Bachche ko tedi Nazar se dekhe aur Bachche ko daant dapat Kare aur ye bhi Mumkin Hai k Uski Pehli Bivi se jo Aulaad ho ya Usi Bivi se jo Aulaad ho Jaye uski Muhabbat ke saamne us Bachche se kisi qism ki Takleefe Mehsoos kare , in jesi Hikmato ki vajah se Maa'n Ka Haq Parwarish is Soorat mai saaqit Kar diya gaya Hai Jabki wo Bachche ke na mehram se Nikaah kare ,

┱_ Maa'n ko Jo Parwarish Ka Haq Diya Jata Hai Wo uska Haq Hai ,Agar wo Apne Haq Ka istemal na karna Chahe to usko Majboor nahi Kar sakte k zaroor Parwarish Kare , Haa'n agar Koi aur Aurat Parwarish karne wali na mile to uski Maa'n ko Majboor Kiya jayega k uski Parwarish Kare ,aur agar Maa'n ne Parwarish Ka Haq saaqit Kar diya to Shar'an Jitni muddat Parwarish karne Ka haq rakha gaya us muddat ke andar andar fir Apna Haq le sakti Hai, Yani Parwarish Ka Mutalba Kar sakti Hai ,isi tarah agar doosre Shohar se Judaai ho Jaye to fir bhi Haq Parwarish Ka Mutalba Kar sakti Hai,
             

╨───────────────────── 
*┱✿ Bachche Ki Parwarish Ke Mutalliq Chand Aham Masa'il_,*

┱ _ 1- Jis Zamane mai Bachche ki Maa'n Talaaq Ke Baad iddat guzaar rahi Ho Usi Zamane mai Jo Bachcha uski Parwarish mai ho uske doodh pilane ki ujrat na le Albatta iddat guzarne tak Shohar per ( iddat guzarne wali hone ki vajah se ) naan Nafqa Waajib Hai,

┱ _2- Agar Talaaq Ke Baad iddat guzar gayi to Bachche ki Maa'n ko uske Baap se Doodh pilane ki ujrat talab karne Ka haq Hai aur is Soorat mai Baap ke Liye Jaa'iz nahi k wo yu'n Kahe k jab ujrat dena hi Hai to Mai'n kisi doosri Aurat se ujrat per doodh pila lunga ,( Chunki Jo Shafqat Maa'n ko ho sakti Hai Doosri Aurat ko nahi ho sakti ) , Haa'n agar Doosri Aurat Maa'n se kam ujrat per raazi ho to Maa'n ko ye Haq haasil na hoga k Bachche ko khud doodh pila de aur ujrat zyada le , Albatta Maa'n ko itna Haq Hai k doodh pilane wali Aurat ko apne paas rakhe Taki Bachche se Judaai na ho aur agar Maa'n doodh pilane per razamand ho Lekin uska doodh Bachche ke liye muzir ho to Doosri Aurat se Doodh pilwa Sakta Hai,

┱_3-- Agar Maa'n Kahe k Mai'n ise doodh nahi pilati to use Majboor nahi Kiya ja sakta Haa'n agar Bachcha kisi aur Aurat Ka doodh qubool hi na Kare to Maa'n per Waajib Hai k use doodh pilaye,

┱_4-- Jo Maa'n Badkaar ho Jiske fisq v fijoor Ka Asar Bachche per padh Sakta ho to Bachche ko jab tak samajh na aaye usko Maa'n ke paas rakha ja sakta Hai, uske Baad usse le liya jayega aur agar Koi Maa'n Esi Hai k Bachche ko Chhod kar Aksar Awqaat baahar rehti hai aur Bachche ki dekh bhaal nahi karti Jisse uske zaay hone Ka khatra hai to is Soorat mai use Haq Parwarish nahi diya jayega,

┱_5-- Agar Bachche ki Maa'n Mar Jaye ya Haq Parwarish istemal na Kare Yani parwarish ke liye inkaar Kar de ya kisi vajah se uska Haq Parwarish saaqit ho Jaye to is Soorat mai Parwarish Ka Haq Naani ko pahunchta Hai , Agar Naani na ho ya mojood to ho Lekin Parwarish se inkaar kar de to Daadi ko aur uske baad Baap Shareek Behno ko aur agar in me se Koi na ho ya Haq Parwarish istemal karne se inkaar Kare to fir Khaala ko aur uske baad Foofi ko Haq Parwarish milega ,Wo bhi na ho ya Haq Parwarish istemal na Kare to Maa'n ki Khaala ,fir Baap ki Khaala ko Haq pahunchega , Yaad rahe k Bachcha Chahe kisi ki bhi Parwarish mai rahe Bachche ka kharch Baap ke zimme honge ,

┱_6--Bachche ke rishtedaro mai agar Koi Aurat Parwarish ke liye na mile to ab Baap uski Parwarish Karne ka mustahiq hai ,Wo bhi na ho to Fir Daada ,Fir Pardaada , in me se Koi na ho to Sage Bhai ko fir Baap Shareek Bhai Jo Haq pahunchta Hai, wo bhi na ho to Jab kabhi esa waqi'a pesh aaye to Mo'atbar Aalimo se maloom kar liya Jaye ,

┱_7-- Jise Bachche ki Parwarish Ka Haq pahunchta Hai use Ladke ko Saat saal ki Umar ho Jane Tak aur Ladki ko 9 ( No ) Saal ki Umar ho Jane Tak Parwarish Ka Haq milega Yani itni muddat Tak Apne paas rakh Kar Parwarish karne Ka haq Hai,

*__Wallahu Aalam _'*
                
▦══─────────────══▦

ReF✿┅╮    
         *🗂 Tohfa E Khawateen,*
                  ╨─────────────────────

Tohfa E Khawateen - ( Nikaah )





                   ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

             ✰══❖══✰═══❖══✰

         鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
                  ✰﹏﹏﹏﹏﹏﹏✰       
               *⊙_ N I K A A H _ ⊙*

╨───────────────────── 
*┱✿ Ladka ho Ya Ladki Baalig hote hi Uski ShadiKar di Jaye_,*

┱ Hazrat Abu Saied aur ibne Abbaas Raziyallahu Anhum se rivayat hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jiske koi Aulaad ho to uska achchha naam rakhe aur use Adab sikhaye , Fir jab baalig ho jaye to uska Nikaah kar de ,

__Agar Aulaad baalig hui aur uska Nikaah na kiya Jiski vajah se usne koi gunaah kar liya to Baap hi per uska gunaah hoga _,"

* Mishkaat ul Masabih -2/271 Ba Hawala Bayhiqi_*

┱ Hazrat Umar Raziyallahu aur Hazrat Anas Raziyallahu Anhum se rivayat hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Toraat Sharif mai ye mazmoon likha hua hai k Jis Shakhs ki Beti Baarah (12) Saal ko pahunch gayi aur usne ( moqa munasib hote hue ) uska Nikaah na kiya , Fir usne koi gunaah kar liya to iska gunaah usi Shakhs per Yani uske Baap per hoga _,"

* Ravaah Bayhiqi fi Shobul imaan _,*

╨───────────────────── 
*┱✿ Bachcho Ke Achchhe Naam Rakhne Ka Hukm_,*

┱ Bachcho ka achchha naam rakhna bhi Maa'n Baap ki zimmedari hai aur Bachcho ka ye Haq hai k unka achchha naam rakha Jaye , Ek Hadees mai irshad hai k qayamat ke roz tum Apne Naamo aur Apne Baapo ke naamo se pukare jaoge Lihaza tum Apne naam achchhe rakho _" ( Abu Daowd Sharif)

┱ Bura Naam Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko napasand tha ,Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam bure naam ko badal diya karte they _," ( Tirmizi )

┱ Maa'n Baap per laazim hai k Bachcho ke Naam ESE rakhe Jinse Allah ka Banda hona maloom hota ho ,islam Aur imaan ki sifaat zaahir hoti ho , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Nabiyo'n ke naam per rakho aur Allah ke nazdeek Sabse zyada Mehboob naam Abdullah aur AbdurRahman aur Sabse bura Naam Harb aur Murrah  hai..," ( Mishkaat Sharif)

┱ Aksar Logo mai naye naye Naam rakhne ka rivaaj hai , Ab to Parveen aur Parvez ,Gazala ,Shaheen jese naamo ne bahut rivaaj paa liya ,

"_Halanki Parvez faaras ke us Badshah ka naam tha Jisne Hamare Nabi Sallallahu Alaihivasallam ka maktoob giraami chaak kar diya tha ,Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Tablig ke liye likha tha ,ESE Dushman ke naam per naam rakhna badi na-samjhi ki baat hai ,

┱ Shaheen Baaz ko kehte hai'n, Gazala Hiran ko kehte hai'n, Kya kya naam nikaale hai'n logo ne ? Achhche naam chhod kar jaanwaro ke naam Akhtyar kar liye ,

┱ Guzishta zamane mai Maa'n Baap islami naam rakhte they ,Abdullah ,AbdurRahman, Abdul Kareem vagera Jinse bandgi aur Khaaliq v Maalik se khaas talluq ka izhaar hota tha , Ladkiyo ke Ayesha ,Zenab ,Fatima ,Qulsum jese Naam hote they Jinse Aap Sallallahu Alaihivasallam Se Khaas muhabbat ka izhaar hota tha , Hazraate Ambiya Alaihissalam ke naamo per bhi naam rakhte they Jiska Nateeja ye tha k un Jaleelul qadr hastiyo'n ke naamo se aur Naamo ke zariye unke kaamo se zahan manoos rehta tha ,

┱ Baaz Aurte'n totka ,Tona karti hai'n aur Usi tarah Bachcho ke naam rakh deti hai'n , Bunda ,Ghaseeta ,Chhajju ,Ek fashion ye chala hai k Bachcho ke naam angrezi rakhe Jane lage , Baap ko Abba kehne ke bajaye Dady ,dead kaha Jane laga , Behooda bad deen Filmi staro ke naam per Bachcho ke naam rakhte hai'n ,

"_ A'amaal Saleha aur Buzurgo  ki yaadgaar ,Deen v islam se muhabbat ko baqi rakhne ki zarurat nahi samajhte ,Be haya aur be sharam logo ke naamo ko zinda rakhne ki koshish karte hai'n ,inna lillaahi wa inna ilaihi raajioun _,"

╨───────────────────── 
*┱✿ Muhabbat Ke Liye Nikaah se badh Kar KoiCheez nahi _,*

┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Muhabbat karne walo ke liye Nikaah se badh kar tumne koi cheez nahi dekhi _,"

* Mishkaat-268 Ba-Hawala ibne maaja ,*

*┱ Tashreeh _,* _ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k muhabbat ka jod lagane wali cheezo mai Nikaah ka jod Sabse zyada mazboot hai aur muhabbat ke badhane aur baqi rakhne mai Nikaah se badh kar koi cheez nahi , Kisi Khandaan ka Mard aur Kisi Khandan ki Aurat , Ek Arabi Doosra Ajmi , Jab Shara'i Nikaah ho jata hai to ek doosre per nisaar hota hai aur ulfat aur muhabbat WO rang lati hai k Umar bhar saath nahi chhot ta ,

┱ Nikaah ke alawa bhi Baaz mard v Aurat nafsaniyat ke liye Naamo nihad muhabbat kar lete hai'n magar ye muhabbat nahi hoti balki nafsani khwahish ka ek jod hota hai Jiska Naam muhabbat rakh diya jata hai ,Jab matlab nikal jata hai ya maqsad mai nakaami ho jati hai to fir ye kaha'n aur WO kaha'n ,Kesi muhabbat aur kesi ulfat ,  

┱ Nikaah ke zariye Jo talluq paida hota hai Waqti nahi hota balki zindgi bhar nibhane ki niyat se ijaabo qubool hota hai ,Nikaah se Mard Aurat ki haisiyat badh jati hai , Mard Aurat dono zindgi bhar ke liye ek doosre ke hamdard aur Dukh Sukh v Araam takleef ke Shareek ho jate hai'n , Fir mazeed Shohar Bivi ke khandano ka jod , Samdhi Samdhi mai muhabbat , Damaad Saale , Saad Damaad ka talluq , Ye Muhabbate aur Khidmate ek Shara'i Nikaah hi ki vajah se ho sakte hai'n ,

╨───────────────────── 
*┱✿ WO Nikaah Sabse Zyada Ba-Barkat haiJisme Kharch Kam se Kam ho _,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k bila shubha barkat ke aitbaar se Sabse bada Nikaah WO hai Jisme Kam se Kam akhrajaat hue ho _,"

* Mishkaat ul Musabeh - 268 ,Ba-Hawala ShobulImaan v Bayhiqi,*

*┱ Tashreeh_* _ is Hadees se maloom hua k Nikaah aur Shaadi mai kam se kam kharch karna chahiye ,Nikaah mai jis qadar kharch kam honge WO Nikaah usi qadar barkato wala hoga , aur Ye Nikaah Duniya v Aakhirat ki Bhalaai ka zariya hoga ,

┱ Hamare Pyare Nabi Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Shadiya'n bhi ki aur Apni Betiyo'n ki bhi ki ,Ye Shadiya'n nihayat Saadgi ke saath anjaam pa gayi ,Huzoor Sallallahu ki Sabse zyada chaheti Bivi Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha thi Jo Siddiqe Akbar Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Beti thi unse Nikaah to Makka Mukarrama hi mai ho gaya tha ,Fir hijrat ke baad Madina munawwara mai rukhsati hui ,

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Pados ke ek ghar mai jhoola jhool rahi thi , Unki Walida ne Awaaz de kar bulaya aur Kuchh Aurto'n se unhone Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka singaar karwa diya aur ek Kamre mai chhod kar chali gayi , Na Dulhan Paalki mai bethi na Dulha ghode per chadha ,na aur kisi tarah ke akhrajaat hue ,Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ki Chaar Sahebzadiya'n thi , Hazrat Zenab ,Hazrat Umme Kulsoom ,Hazrat Ruqaiya ,Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma ,Aapne in chaaro ki Shadiya'n ki aur nihayat Saadgi ke saath sabke Nikaah aur Rukhsatiya'n ho gayi ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Khatoone Jannat Hazrat Fatima RaziyallahuAnha ki Rukhsati _,*

┱ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki Sabse zyada laadli Beti thi , Unka martaba bahut bada hai ,Sarkare Do Jaha'n Sallallahu Alaihivasallam ne Aapko Jannat ki Aurto'n ki sardaar bataya , Sabko maloom hai k unka Nikaah Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke saath hua ,

┱ Jis waqt Shadi hui Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke paas koi makaan bhi na tha , Ek Sahabi Raziyallahu Anhu se makaan le kar rukhsati di gayi aur rukhsati kis shaan se hui , Hazrat Umme Ayman Raziyallahu Anha ke saath Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke paas bhej di gayi , Dulha khud lene nahi aaya tha aur Dulhan kisi sawari mai bhi nahi bethi ,

┱ Ab Jahez ki baat bhi sun lo , Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Khatoone Jannat Fatima Raziyallahu Anha ke jahez mai ek Chaadar aur ek Takiya aur Do chakkiya'n aur Do Mashkize diye , Takiye ka gilaaf chamde ka tha Jisme Khajoor ki chhaal bhari hui thi , aur Baaz rivayaat mai ek Palang ,ek Piyala ,Chaandi ke do baazu band dene ka bhi Zikr milta hai _,

╨───────────────────── 
*┱✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Biviyo'naur Betiyo'n Ka Mahar_*

┱ _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k mai'n nahi jaanta k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne 12-1/2 Auqiya se zyafa Apni Kisi Bivi ya Apni Kisi Beti ka mahar muqarrar kiya ho _"

* Mishkaat -*

┱_ Ek Auqiya 40 Dirham ka hota Hai , 12-1/2 Auqiya ke 500 Dirham hote hai'n ,  500 Dirham ki chaandi 131 (Andazan 1572 graam) tola se Kuchh zyada hoti hai , Chaandi ki ye miqdaar ki qeemat Mojooda aitbaar se Sunaaro se maloom kar liya kare Kyunki Chaandi ki qeemat kam zyada hoti rehti Hai ,  ( Jo Aaj ki Chaandi ki qeemat Taqriban 41,000 Rs Kg ke hissab se Taqriban 65000 Rs.hoti Hai , Ye bhi Mengaa'i ke is daur mai itni qeemat ho gayi )

┱ _ Aaj Kal Laakho Rupiya Mahar muqarrar kiya jata hai, Majlise Nikaah mai to naam ho hi jata hai magar Zindagi bhar ada nahi kar pate aur Bivi ke qarzdaar ho kar marte hai'n ,

┱_ Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Shadiya'n ki aur Apni Betiyo'n ki Shadiya'n bhi Saada tareeqe per ki ,Dobo jaha'n ke sardaar they ,Agar chahte to dhoom dhaam se karte lekin Aapne Apne Amal mai saadgi akhtyar kar ke dikhayi aur mustaqil tareeqe per ye farma Diya k Nikaah mai Jis qadar Kharch kam honge usi qadar badi barkato Wala hoga ,

"__ Humne Shadiyo'n ko muaibat bana rakha Hai ,Gair muslimo ki dekha dekhi, Buri Buri rasme jaari kar rakhi hai'n aur ye rasme guroor aur Shohrat ke liye akhtyar ki jati Hai , Soodi qarz le kar Shadiyo'n ke liye Jahez diye jate hai'n , hazaaro Rupiya Dawat Naama ka Card per Kharch hote hai'n, Walimo mai Khoob riyakaari hoti Hai , Naam Sunnat ka aur Kaam dikhawe ka , inhi akhrajaat ki Vajah se baaz martaba Jawan ladkiya'n barso bethi rehti Hai ,

┱_ Hum log agar Ab bhi Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per chalne ka iraada kar le to Kisi tarah ki koi Rasm akhtyar na karni pade ,Saadgi ke saath ijaabo qubool ke zariye jod dena kaafi Hai , itne se kaam mai koi musibat aur bakheda nahi ,Jo pabandiya'n khud Apne sar lagayi hai unki Vajah se musibato mai giraftaar ho gaye , Mangni ki Rasm se Shadi ke din aur uske baad bhi khilana pilane ,aane Jane ki rasmo Tak laakho Rupiya Kharch karte hai'n aur Na jaane kitne na-jaa'iz kaam kiye jate hai'n , Astagfirullah,
            

╨───────────────────── 
*┱✿ Gaana Bajana Haraam Hai_*

┱ _ Aurto'n ne Shadi Byaah ki Jo khud Sakhta rasmo ko shara'i fara'iz ka darja de rakha hai , Namaz nahi padhti Jo Sabse zyada farz cheez hai, Lekin Shaadi Byaah ki rasmo ko farz waajib se badh kar anjaam deti hai'n aur Jo na kare unko bure lafzo mai yaad karti hai'n ,

┱_ Shadiyo'n mai Gharo mai Aurto'n ka Gaana Bajana aur Hazaaro Rupiya gaane bajaane ,Band Baajo aur Behuda Naachne wali Randiyo ko nachwane Mai Kharch kiya jata hai, Aur Gaana Bajana na ho to use Feeka aur be maza samjha jata hai , Halanki Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya Hai k - mujhe mere rab ne ye hukm Diya Hai k mai'n gaane bajaane ke samaan mita du aur buto aur saleeb ko aur Jahiliyat ki cheezo ko khatm kar du ,( Mishkaat ul masabih )

┱_ Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jin cheezo me mitane ko Apni ba'asat ke maqsad mai shamil farmaya,afsos Hai k islam ke muddai in cheezo se Apni Shadiyo'n ko saja kar fakhr mehsoos karte hai'n ,Ek Musibat aur bala ye Hai k Masjido mai  Namaze hoti rehti hai'n aur tez awaaz mai gaane bajte rehte hai'n aur Saare mohalle walo ke liye bhi shor sharaba ek musibat ban jata hai , Ek mareez bhi aafiyat se araam nahi kar sakta ,

┱_ Ek Zamana Tha jab Musalman gairo se bhid jate they aur Masjido ke saamne baaja bajaane per jaan lene dene ko tiyaar ho jate they, Aaj Musalman Khud hi Masjid ke saamne baaja bajaata hai, aur Ayn Namaz ke waqt bhi gaane bajaane ko ayb nahi samajhta ,
 

╨───────────────────── 
*┱✿ Baalig Ladki Ki ijazat Ke bager Nikaah nahi ho Sakta_*

┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Aurat ka ek baar Nikaah ho chuka ho ( aur fir Shohar ki maut ta talaaq mil Jane ki Vajah se iddat guzaar kar doosri jagah Nikaah karna ho ) to uska Nikaah us waqt Tak na kiya Jaye jab Tak usse wazahat ke saath zubaan se ijazat na le li Jaye ,

_ aur Jis ( Baalig ) Ladki ka Pehle Nikaah nahi hua Hai uska Nikaah us waqt Tak na kiya Jaye jab Tak k usse ijazat na le li Jaye,

_ Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum ne arz kiya- Ya Rasulullah uski ijazat kese hogi ,? ( Wo to Sharm ki Vajah se bol bhi nahi sakegi )

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- uski jaanib  se yahi ijazat samjhi jayegi k jab usse ijazat li Jaye to khamosh reh Jaye ,"

* Mishkatul Masabih - 270 Ba hawala Bukhari v Muslim_*

┱_ Shari'at ne kese aitdaal se kaam liya hai ,Ek taraf to Baalig Ladki ko Apni zaat ka akhtyar de diya k jab Tak wo ijazat na de uska Nikaah nahi ho sakta , Doosri taraf uski Sharm ka lihaaz rakha aur wali ke ijazat lene per uski khamoshi Yani inkaar na karne ko ijazat shumaar kar liya , Agar wo inkaar kar de to wali uska Nikaah nahi kar sakta aur Jis Baalig Ladki ka Pehle Nikaah ho chuka Hai uske doosre Nikaah ke liye uski zubaani ijazat laazim qaraar di gayi Hai , Jiski Vajah ye Hai k uska Pehle Nikaah ho chuka Hai isliye uski Sharm toot chuki Hai ,aur uski khamoshi motbar nahi Hai ,Jab saaf lafzo mai ijazat de tab motbar hogi ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Na-Baalig Ka Nikaah _,*

┱ _ Baaz khandano aur ilaaqo mai ye mustaqil tareeqa bana rakha Hai k Na-Baaligi mai hi ladke Ladki ka Nikaah kar dena zaroori samajhte hai'n , Halanki Na-Baalig Ka Nikaah kar dena ek jaa'iz amr Hai koi Farz ya Waajib nahi Hai ,

┱_ Bahut martaba esa hota Hai k Na-Baaligi mai Nikaah kar dene ke baad Ladka aur Ladki Baalig ho kar munkir ho jate hai'n aur Shaadi ko pasand nahi karte , unka inkaar aur Walden ka usi jagah rukhsati ka israar musibat ban jata hai ,

┱_ Aaj Kal ki Aulaad Khud Pasandi ki Vajah se  Walden chahe to baat pakki kar ke rakhe aur Aakhir faisla aur Nikaah Ladka aur Ladki ke Baalig hone per unki ijazat le kar kare , taki Koi pareshani ka saamna na karna pade ,

┱_ Baaz martaba bada ho kar Ladka shareer badmash ban jata hai , rukhsati kare to Ladki ki jaan musibat Mai fanse aur ladke se talaaq ko kahe to talaaq nahi deta , ye paeeshaniya pesh aati rehti hai'n , inse bachne ka yahi ilaaj Hai k Baalig hone per Nikaah kare , Albatta esa qanoon bhi Shari'at ke khilaf Hai k Na-Baalig ka Nikaah ho hi nahi sake , 
             

╨───────────────────── 
*┱✿ Taqwa Ke baad Sabse Zyada Behtar CheezNek Aurat hai_*

┱ _ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Momin Bande ne taqwe ke baad esi bhalaai haasil nahi ki Jo uske Haq mai Nek Bivi se badh kar ho ,

"_"( Fir Nek Bivi ki tareef karte hue farmaya k ) Agar Shohar use Hukm kare ( Jo khilafe Shari'at na ho ) to uska kaha maane aur Shohar uski taraf dekhe to Shohar ko khush Kare aur agar Shohar Kisi kaam ke bare mai qasam khaa bethe k zaroor tum esa karogi ( aur wo kaam shar'an jaa'iz ho ) to uski qasam sachchi kar de aur agar kahi Chala Jaye aur ye uske pichhe Ghar mai reh Jaye to Apni jaan aur uske maal ke bare mai uski khair khwahi Kare _"

* Ibne Maaja _*

┱_ Is Hadees mai irshad Hai k Taqwe ki ni'amat badi ni'amat Hai agar Kisi ko ye ni'amat mayassar ho Jaye to wo Bahut mubarak Hai Kyunki asal Deendari Taqwa hi ka naam Hai , Taqwa Fara'iz v Waajibaat ke ada karte hue Haraam v mamnu'a kaamo se bachne ka naam Hai ,Is sifat ki Vajah se Banda Khuda ka mehboob ban jata hai ,

┱_ Aur Bahut si beshumar ni'amate hai'n jinka darja Taqwe se kam Hai magar Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Taqwe ke baad Sabse badi ni'amat Nek Bivi Hai , Fir Nek Bivi ki sifaate Bayan farmayi ,Shohar ki farmabardaar ho , Uski Khushi ko Apni Khushi samjhe ,Uski jaa'iz qasam ko poora Kare aur Shohar kahi Chala Jaye to Apni izzat aabru aur uske maal ki Ghar ki hifazat Kare ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Na- Jaa'iz Umoor Mai Shohar ki ita'at Jaa'iznahi _*

┱ _ Agar Koi ye sawal Kare k Baaz Mard Apni Bivi ko gair Mardo ke saamne le jate hai'n, balki unse musafe bhi karate hai'n ,Yaha Tak k gairo ke saath Apni Betiyo'n ko nachwate hai'n to unki Bivi agar Shohar ke pichhe ya aage gair Mard se koi talluq rakhe Jo Shohar ki Marzi ke mutabiq ho to ye Jaa'iz hona chahiye aur isme Shohar ki khayanat bhi nahi Kyunki wo khud chahta Hai k gairo se mile jule ,

┱_ Balki Bahut se Shohar Jo Apni Bivi ko modern dekhna chahte hai'n wo to is per khush hote hai'n k uske friends Bahut ho aur isko taraqqi ki alamat samajhte hai'n ,

┱_ Is Sawal ka jawab ye Hai k Hadees mai Musalman Mard v Aurat ka haal Bayan farmaya Hai , Koi Musalman Kabhi bhi be-gairat nahi ho sakta aur hargiz ye bardasht nahi kar sakta k uski Bivi per Kisi gair mard ki Nazar bhi pade ya haath lage aur na hi Musalman Aurat hi ye pasand kar sakti Hai k Shohar ke alawa Kisi ke saath nafs v Nazar Wala talluq rakhe ,

┱_ Jo log Apni Bivi ko Mahol maashre ke mutabiq Modern dekhna chahte hai'n aur use Dosto ka khilona banana pasand karte hai'n,Sarasar Yahood v Nasaara ke tarz per Zindagi guzaar rahe hai'n , Unme kitna imaan Hai, Unka Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se kitna talluq Hai ,Unhe Qur'an v Hadees se kitna shagaf Hai ? Iska pata chalayenge to ese log in sifaato se khaali niklenge , Ese Log Sahi Musalman to Kya hote theek tarah se insaan bhi nahi hai'n ,

"__ Hadees mai ese bad kirdaar be gairat ,bad nafs logo ka zikr nahi Hai balki Musalman ba izzat aur ba gairat Mard aur Aurat ka zikr ho Raha Hai ,Jo log Apni Bivi ke Haq mai be gairati bardasht karte hai'n aur unki asmat v uffat daagdaar dekhne mai khushi mehsoos karte hai'n unke bare mai irshade Nabvi Hai --

__ Teen Shakhso per Allah Ta'ala ne jannat Haraam farma di Hai 
(1)- Jo Sharaab pita rehta ho ,(2) -Jo Maa'n Baap ko takleef deta hai, (3) - Jo Apne Ghar walo mai napaak kaam ( Zina aur uski taraf bulane wali cheeze maslan be pardgi ,gair mardo se Mel jol vagera ) ko bar qaraar rakhta Hai ,

* Ravaah Ahmad v Nasaa'i _*

┱_   Pehle waazeh kiya ja chuka Hai k Shohar ki farmabardaari muwafiq Shara'i kaamo Mai Hai , Khilafe Shari'at kaamo mai Kisi ki ita'at aur farmabardaari ki ijazat nahi Hai , Agar Shohar Be parda hone ke liye kahe tab  bhi be parda hona Jaa'iz nahi Hai , 
         

╨───────────────────── 

*┱✿ Ladkiyo'n Ke Liye Deendar Khush Khalq Shohar Ko Tarjeeh Do_Maaldaari Ko Nahi,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- 

"_ K Jab koi esa Shakhs tumhare paas Nikaah ka paigaam bheje jiski Deendari Aur Akhlaq tumhe pasand ho to ( Jis ladki Ke tum wali ho ) us Shakhs se ( us Ladki ka ) Nikaah Kar do agar Tumne esa na kiya to Zameen per bada Fitna Aur ( Lamba ) Choda fasaad Hoga _,"

*📁 Mishkaat Sharif -267 Ba Hawala Tirmizi,*

┱ Nikaah Ke bare mai Qur'an e Hakeem Aur Ahadees e Sharifa mai Bahut se ahkaam v masa'il waarid hue Hai'n , is Hadees mai Joda kesa talash kiya Jaye iske mutalliq ek nasihat fatmayi gayi Hai ,Aur is nasihat ke Khilaf Karne per bade fitne fasaad ki khabar di Hai , k Deen Aur Akhlaq ko dekh Lena hi kaafi Hai ,

┱ Maal Daulat Aur Duniya ki badaai na dekho , Agar Ladke mai Deendari nahi to wo Ladki ko bhi Deen per chalne na dega, Be Namazi na Namaz padhega na Padhne dega , Haraam kamayega Aur Haraam khilayega ,Dono Miya Bivi Aakhirat Ke azaab mai mubtila honge , Agar Tumne Deendar ko ladki na de Kar Kothi ,bangle wale ko dekha ,Maal Daulat ko Tarjeeh di to Duniya Shayad Aisho Araam mai guzar Jaye magar Aakhirat barbaad Hogi , Kya koi Shakhs ye gawara Kar sakta Hai k Uski Ladki Aag mai Jale ? Fir Asnkho dekhe Apni Bachchi ko Aag mai Kyu daalte Hai'n ,

┱ Jab ye jaante Hai'n k Fala Ghar mai jaa Kar Bachchi Fara'iz chhod degi , Namaz roza chhod degi,Haraam Halaal ki fikr nahi rahegi ,Jiska Natija Azaabe Aakhirat Hai to Deendar ko chhod Kar Bechari Be zubaan ko faasiq v faajir bad Amal Aur be Deen me hawale Kyu Karte ho ?  

┱ Baaz Log kehte hai k Aaj Kal Ladkiya'n Apna Joda Khud tajveez Kar leti Hai'n Aur Deendar ko pasand nahi karti , Mai'n ese Logo se puchhta hu k Ladki ko itni jurrat kese Hui k wo Apna Joda Khud talash Kare Aur Deendar se ghabraye ,Faasiq v faajir ko pasand Kare ,? Baat ye Hai k Aapne apne Ghar ka Mahol Khud hi kharaab kiya Hai , Bachcho ko Deen nahi sikhaya , School College ki Padhayi ko Deen per Tarjeeh di , School College mai Ladka Ladki ka Saath padhna , Novel ,Afsane padhna ,TV ,Filme Dekhna , Bager Mahram Ke Bahar ghoomna firna , Ye sab ese Umoor Hai'n Jo Ladkiyo'n ko be Sharm bana rahe Hai'n Aur Deen se door Kar rahe Hai'n Aur Deendaro se parhez Kar rahe Hai'n , Allah sahi Samjh ataa Kare ,

╨───────────────────── 

*┱✿ Deendar Aurat Se Nikaah Karo - Maal v Husno Jamaal Na Dekho _*

┱  Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurat se Chaar Cheeze dekh Kar Nikaah kiya Jata hai-

1- Uske Maal ki vajah se,

2- Uski Haisiyat Ki vajah se ,

3- Uski Khoobsurti ki vajah se,

4- Uski Deendari ki vajah se, 

Pas Ey mukhatib ! tu Deendar Aurat ko Apne Nikaah mai laa Kar Kaamyaab ho ja tera bhala ho _,"

*📁 Mishkaat Sharif -267 Ba Hawala Bukhari v Muslim_*

┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Poori Duniya nafa haasil Karne ki cheez Hai Aur Duniya ki cheezo mai Sabse behtar Cheez Jisse Nafa haasil kiya Jaye Nek Aurat Hai _,"

*📁 Mishkaat Sharif-261 Ba Hawala Muslim_*

┱ Jis Tarah Shohar Deendar Khush Akhlaq talash Karne ki Zarurat Hai usi Tarah ye Bhi zaroori Hai k Aurat Deendar talash ki jaye ,Uska Maal v Jamaal ,Martaba v Haisiyat na dekho Agar Aurat Deendar na Hogi to wo na Shohar Ke huqooq ada karegi na Aulaad love Deendar banayegi , 

┱ Bahut se log Khoobsurt Aurat per lattu ho Jate Hai'n,Uski Safed khaal to dekh lete Hai ,Lekin Kaala Dil Nazar nahi aata, Hai to Khoobsurt Lekin Roza na Namaz , Be Deen ,Be Parda , Bad Akhlaq , Shohar ki Daadhi use Pasand nahi , Uska Libaas Pasand nahi be,Fizool kharchi jiski  Aadat Jo ho ,wo Raat Din Shohar Ke Liye ek Azaab ban Jati Hai, 

╨───────────────────── 

*┱✿ Doosri Mangni Per Mangni Na Kare_,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k koi Shakhs Apne Bhai Ki Mangni per Mangni Na Kare ,Apne se pehle paigaam bhejne wala ya to us jagah Nikaah Kar le ya us Jagah Nikaah ki Baat cheet chhod de  ( Agar Uski Baat Kat Jaye to Apna paigaam de sakte Hai'n )_,"

*📁 Mishkaatul Masabeh -271 Ba Hawala Bukhari v Muslim,*

┱ Islam ne ek doosre ko Jismani ya Roohani Takleef Dene ko Haraam qaraar Diya Hai Aur Musalmano Ke Jo Aapas Ke huqooq bataye Hai'n unme ye bhi irshad farmaya Hai , " _Musalman Musalman ki hamdardi Aur khir khwahi Kare Saamne bhi Aur Peeth Pichhe bhi _," 

┱ Iska taqaza ye Hai k jab Kisi jahah Kisi musalman Mard ya Aurat Ke Nikaah ka kahi paigaam Gaya ho to doosra musalman Uske haq mai us Jagah ko bigaad na de ,Agar kisi Aurat se Nikaah karne Ke Liye Mard ka paigaam pahuncha hua Hai Aur Baat chal rahi Hai to koi doosra Shakhs Mard ya Aurat esi tarkeeb na Kare k unka hota hua rishta Kat Jaye , 

╨───────────────────── 

*┱✿ Kon Konse Rishte Haraam Hai'n ?*

┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k unhone Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k Ya Rasulallah ! Kya Aapko Apne chacha Hamza Raziyallahu Anhu ki Ladki se Nikaah karne ki ragbat Hai ? ( Ragbat ho to baat chalayi Jaye ) Kyunki quresh ki Aurto'n mai wo Sabse zyada Haseen Ladki Hai ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya -( Usse Mera Nikaah kese ho sakta Hai? Wo to mere Doodh Shareek Bhai ki Ladki Hai ) Kya tumhe maloom nahi Hai k Hamza mere Doodh Shareek Bhai Hai'n ,

Aur Allah Ta'ala ne nasab ki vajah se Jo Rishte Haraam qaraar diye Hai'n wo nasab ki vajah se bhi Haraam qaraar diye Hai'n ( Hamza Raziyallahu Anhu chahe chacha Hai'n Aur Chacha ki Ladki se durust Hai Lekin Chacha Ke Hote hue chunki wo Doodh Shareek Bhai bhi Hai'n,isliye unki Ladki se Nikaah nahi ho sakta )

*📁 Mishkaatul Masabeh- 273 Ba Hawala Muslim_,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Kisi Aurat ka Nikaah ese Mard se na kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat ki Fufi ho Aur isse bhi mana farmaya k Kisi Aurat ka Nikaah ese Mard se kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat Bhai ki Ladki ho ,

( isi Tarah ) isse bhi mana farmaya k Kisi Aurat ka Nikaah ese Mard se kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat ki khaala ho aur isse bhi mana farmaya k ese Mard se kisi Aurat ka Nikaah kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat ki Behan ki Ladki ho ,

Kisi Mard Ke Nikaah mai badi ( Fufi ,Khaala ) Ke Hote hue Chhoti ( yani Bhatiji Aur Bhanji ) ka Nikaah us Mard se na kiya Jaye Kisi Mard Ke Nikaah mai Chhoti ( Bhatiji ya Bhanji ) Ke Hote hue Badi ( Yani Fufi Aur Khaala ) ka Nikaah us Mard se na kiya Jaye ,"

*📁 Mishkaatul Masabeh -275 Ba Hawala Tirmizi v Abu Daowd,*

╨───────────────────── 

*┱✿ Haraam Rishto Ki Tafseel- 1_*

┱ Konsi Aurat Kiske Liye Haraam Hai iski tafseel qawaneen ki buniyaad per 6 cheezo per Hai :- 

1- Nasbi Qarabat ,

2- Doodh ka Rishta ,

3- Sasurali Rishta ,

4- Kisi Aurat ka doosre Mard Ke Nikaah ya Uski iddat mai mashgool hona , 

5- Kisi Mard Ke Nikaah mai Pehle se kisi Aurat ka hona , 

6- Qaa'ida muqarrarah se zyada Nikaah karna ,

*┱ 1- Nasbi Qarabat Ke Rishte_*

"__ Apni Aulaad Aur Aulaad ki Aulaad se ,Aur Maa'n ,Baap ,Dada ,Daadi ya Nana ,Nani se Nikaah karna durust nahi , 

"__Aur Behan Bhai ka bhi aapas mai Nikaah nahi ho sakta chahe Haqeeqi Balehan Bhai ho ya Baap Shareek ho ya Maa'n Shareek,

┱ Chacha ,Bhatiji ka Aur Mamu,Bhanji ka bhi aapas mai Nikaah nahi ho sakta, Aur Fufi Bhatija Aur Khaala Bhanje ka bhi aapas mai Nikaah durust nahi ,

╨───────────────────── 

*┱✿ 2- Doodh Ke Rishte __,*

┱ Iski vajah se bhi Aapas mai Nikaah Haraam ho Jata hai , Khaala zaad Bhai se Aur Fufi Ke Ladke se Nikaah durust Hai Lekin agar Kisi Ladke ya Ladki ne Doodh pine Ke zamane mai ( Yani 2 saal ki Umr Ke andar ) Kisi ek Aurat ka Doodh pi liya to ye Dono aapas mai Doodh Shareek Bhai Behan ho Gaye ,Ab Aapas mai inka  Nikaah nahi ho sakta , Jis Ladke ne Kisi Aurat ka Doodh piya Hai wo us Aurat ki Kisi bhi Ladki se Nikaah nahi Kar sakta chahe ek Saath Doodh na piya ho , Doodh pine Wala us Aurat ki Behan se Nikaah nahi Kar sakta Jiska Doodh piya ho Kyunki wo Uski Khaala ho gayi ,

┱ Khulasa ye Hai k Jo Nikaah Nasbi Qarabat ki vajah se Haraam Hai Doodh Ke Rishte se bhi Haraam ho Jate Hai'n, Jis Tarah Nasbi Qarabat Ke Rishte se Nasbi Maa'n Beta , Aur Bhai Behan Aur Khaala Bhanje Aur Mamu Bhanji Aur Chacha Bhatiji Aur Fufi Bhatija aapas mai Mahram qaraar diye Gaye Hai'n,isi Tarah Doodh Ke Rishte ki vajah se se Doodh pilane wali Aurat Aur Uski Aulaad ,Uski Behan Aur Uska Bhai Aur uske Maa'n Baap Doodh pine Wale Bachche Ke Liye ,Ladka ho ya Ladki , Mahram ban Jate Hai'n , Aurat ka Damaad Aur Aurat Ke Shohar ka baap bhi Mahram ho Jata hai , Kyunki inse Nikaah durust nahi Hai , Mahram ban Jane ki vajah se ek doosre Ke Saath Safar mai Jana Aur bila Parda Aamne Saamne aa Jana jaa'iz ho Jata hai ,

┱ Haa'n agar Koi Mahram faasiq v faajir ( Bad chalan ,bad qirdaar ) Hai , Uski taraf se itminan nahi Hai balki Shararate nafs ka andesha Hai ( Jess k Ask Kal waqiaat Sunne mai aate Hai'n ) to ese Mahram se ahatyaat laazim Hai ,uske Saath Safar karna ya tanhaai mai rehna jaa'iz nahi , 

*┱Aur Yaad rakhiye 48 meel Ka Safar karna Bager kisi Mahram Ke durust nahi Hai,chahe Safar Deeni ho ( Maslan Chahe Hajj ka Safar hi Kyu na ho ) ya Duniyavi Zarurat se ho ( Akele Maayka Jana ya Sasural Jana ) , Safar chahe Paidal ho ya Hawai Jahaaz se ho ya Rail ,Bus ,Car ya Kisi bhi zariye ho ,Bager Mahram 48 meel ya isse zyada Ka Safar jaa'iz nahi Hai ,*

"__ Jis Mahram Ke Saath Safar mai Jaye Uska Nek Saleh hona zaroori Hai Jisse itminan ho k koi Shararate nafs Amal nahi karega Aur Kharaab khayal se na chhuyega , 

┱Bahut si Aurte'n Bager Mahram Ke Hajj ya Umrah Ke Liye rawana ho Jati Hai'n Jo Gunahgaar hoti Hai'n , Na Mahram Ke Saath Safar e Hajj v Umrah bhi Jana gunaah Hai ,chahe kesa hi muttaqi parhezgaar Aadmi ho , Shari'at per Amal laazmi Hai , 

"__ Bahut si Aurte'n Khaala zaad ,Mamu zaad ,Fufi zaad ,chacha zaad Bhai Ke Saath Safar mai chali Jati Hai Aur unse Parda bhi nahi karti ,Hansi mazaaq bhi hota Rehta Hai Aur unke Saath tanhaai mai Waqt bhi guzaarti Hai'n , Ye Sakht gunaah Hai ,

              

╨───────────────────── 

*┱✿ 3-Hurmate Musahrat - Sasurali Rishte_*

┱ Kisi Mard Ka Kisi Aurat seeya Kisi Aurat ka kisi Mard se Nikaah ho Jane ki vajah se Jo hurmat ho Jati Hai use Hurmate Musahrat kehte Hai'n , Maslan Koi Mard Kisi Aurat se Nikaah Kar le to ab us Aurat ki Walida se Nikaah nahi Kar sakta ,isi Tarah Ye Aurat us Mard Ke Kisi bhi Ladke se Nikaah nahi Kar sakti, 

┱Kisi Aura ka uske Shohar Ke Baap se Nikaah nahi ho sakta, Pehle Shohar ki Ladkiya'n agar Koi Aurat Saath layi to Uska Naya Shohar un Ladkiyo'n mai se kisi se bhi Nikaah nahi Kar sakta Hai ,basharte k un Ladkiyo'n ki Walida Aur Naye Shohar Ke darmiyan Shohar Bivi Wala Kaam ho Chuka ho ,Aur agar unki Walida ko Sirf Nikaah Kar ke talaaq de di ( Aur Shohar Bivi Wala Kaam nahi kiya ) to unme se kisi bhi Ladki se Nikaah ho sakta Hai ,

┱ Agar Koi Mard Kisi Aurat se Zina Kar le to usse bhi Hurmate Musahrat Saabit ho Jati Hai, Jis Aurat se Zina Kare ab us Aurat ki Ladki Aur uski Walida se Nikaah nahi ho sakta ,

*

╨───────────────────── 

*┱✿ 4- iddat wali Aurat Ke Nikaah Ka Hukm _,*

┱ Kisi Aurat ka kisi Mard se Nikaah ya Uski iddat mai mashgool hona bhi Hurmate Nikaah ka baa'is ban Jata hai ,Ek Mard Ke Nikaah mai Do ,Teen ya Chaar Aurte'n to reh sakti Hai'n magar ek Aurat Do Mardo Ke Nikaah mai nahi reh sakti , Jab ek Aurat se kisi ne Nikaah Kar liya to us Aurat ka Nikaah doosre Mard se us Waqt Tak nahi ho sakta jab Tak k us Mard Ke Nikaah se bilkul na nikal Jaye , Lafze Bilkul isliye istemal kiya Hai Kyunki Shohar ke Marne Ke baad ya Talaaq Ke baad doosre Mard se Nikaah ki ijazat Aurat ko tab hoti Hai jab iddat guzar Jaye, 

*┱✿ 5- Kon Konsi Aurte'n ek Saath ek Mard Ke Nikaah mai Jama nahi ho Sakti _,*

┱Kisi Mard Ke Nikaah mai Pehle se kisi Aurat ka hona bhi Baaz doosri Aurto'n se Nikaah karne Ke Liye maa'ne ho Jata hai, Maslan Kisi Shakhs ne ek Aurat se Nikaah kiya to ab jab Tak ye Aurat uske Nikaah mai rahegi balki agar usne Talaaq de di to ab Jan Tak ye Aurat iddat Ke andar rahegi ,Us Aurat ki Behan se Uska Nikaah nahi ho sakta, Agar Nikaah kar liya to Shar,'an us Nikaah ka koi aitbaar nahi , 

┱ Jis Tarah Do behne aapas mai ek Mard Ke Nikaah mai Jama nahi ho Sakti Hai'n, usi Tarah Fufi - Bhatiji Aur Khaala -Bhanji bhi ek Mard Ke Nikaah mai nahi reh sakti Hai'n ,

┱ Agar koi Aurat Kisi Mard Ke Nikaah mai ho Jab Tak ye us Mard Ke Nikaah mai rahegi Uski Behan Aur uski Khaala se Aur Bhaanji se aur Fifi se Aur Bhatiji se us Mard ka Nikaah durust nahi Hoga , Agar Nikaah kar liya to Shar'an mo'atbar na Hoga , 

╨───────────────────── 

*┱✿ 6- Mard Ke Liye Muqarrarah Tadaad Se Zyada Nikaah Durust Nahi_,*

┱ Mard Ke Liye Shari'at ne Biviyo'n ki Tadaad muqarrar ki Hai , Bek Waqt Chaar Aurto'n se ek Mard ko  Nikaah karna durust Hai magar iski ijazat us Waqt Hai jabki Har Bivi Ke huqooq Shari'at Ke mutabiq baeabari Ke Saath ada Kare ,

┱ Bek Waqt Chaar Aurto'n se zyada koi Mard Nikaah nahi Kar sakta hattaki agar Chaar Mai se Chothi ko Talaaq de di to jab Tak Uski iddat na guzar Jaye uske badle Paanchvi Aurat se Nikaah karna jaa'iz nahi , 

┱ Gaylaan bin Abdullah Shaqfi Raziyallahu Anhu Ke Nikaah mai islam lane se Pehle 10 Biviya'n thi ,Jab unhone islam qubool kiya to Sab Biviya'n bhi Musalman ho gayi , Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ke Saamne iska zikr hua to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Chaar ko rakh lo baqi chhod do _,"

*📁 Mishkaat _,*

┱ Ye Sab Nikaah chunki zamana e Jahiliyat mai hue they isliye esa faisla saadir farmaya, Musalman Hote hue koi Shakhs agar Chaar Aurto'n Ke Hote hue Paanchvi se Nikaah Kar le to Paanchva Nikaah mun'aqd hi nahi Hoga _             *

╨───────────────────── 

*┱✿ Doodh Ka Rishta Sirf Do Saal ki Umar Ke andar Doodh pine se Saabit hota Hai_,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne bayan farmaya k Ek Martaba Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Zanaan Khana mai tashreef laye , Us Waqt mere paas ek Aadmi Tha ,Maine esa Mehsoos kiya k Uska Ghar mai hona Aap Sallallahu Alaihivasallam ko nagawaar hua , Maine ( Dil ka Khiljaan door karne Ke Liye ) arz kiya k ye Shakhs Mera ( Doodh Shareek) Bhai Hai ( isliye andar bulaya Hai ),

Ye Sun Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Achchhi Tarah khayal kar lo k tumhare Doodh Shareek Bhai Kon log Hai'n Kyunki Shara'i raza'at ( Doodh se aa Jane wali hurmat) us Waqt mossar hoti Hai jabki Bhook ki vajah se ho _,"

*📁 Mishkaatul Masabeh-273 Ba Hawala Bukhari v Muslim*

┱ Matlab ye Hai k Shar'an Doodh pilane ka zamana Muqarrarah Hai Yani Do Saal ki Umar Ke andar andar Bachcha Aur Bachchi ko Doodh pilaya ja sakta Hai, is Umar mai Jisne Doodh piya Uska Doodh pina Hurmate raza'at ka sabab Hai , iske baad Doodh pilana hi Haraam Hai Aur agar Kisi ne is Umar Ke baad Kisi Aurat ka Doodh pi liya Hai to isse Kisi ka na Mahram banega na us Aurat ki Maa'n Behan Aur Aulaad se Uska Nikaah Haraam Hoga , Chunki Doodh se hurmat Saabit hoti Hai isliye Aurto'n ko Bahut aahtyaat rakhne ki Zarurat Hai, Apni Aulaad Ke Siva bila Zarurat doosre Ke Bachcho ko Doodh na pilaye ,

┱ Bachcha ya Bachchi Ki Umar chaand Ke hisaab se Do Saal poore hone Ke andar andar Jo Kisi Aurat ka Doodh pila diya Jaye to Sab imaamo Ke nazdeek Hurmate raza'at Saabit ho jati Hai ,Yani iski vajah se to Sab Rishte Haraam ho Jate Hai'n Jo Doodh ki vajah se Haraam Hai'n , Albatta imaam Abu Hanifa Reh.farmate they k Dhaayi Saal Ke andar andar Doodh pilane se bhi Hurmate raza'at Saabit ho Jati Hai

┱ Ahatyaat ka taqaza ye Hai k Do Saal poore ho Jaye to Kisi Bachche ya Bachchi ko Doodh hargiz na pilaye lekin agar kisi ne pilane ki galti Kar di to Dhaayi Saal Ke andar Doodh pilaya ho usko Hurmate raza'at mai mossir mana Jaye , Albatta iske baad Jo Doodh piya ho Hurmate raza'at mai Uska koi aitbaar nahi Hoga Aur uski vajah se Rishte Haraam na honge ,

╨───────────────────── 

*┱✿ Kisi Mard se Nikaah Karne Ke Liye Uski Pehli Bivi ko Talaaq na dilaye_,*

┱  Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Koi Aurat Apni Behan ki Talaaq Ka sawal na kare taki uske uske piyale ko Khali Kar de aur Chahiye k Apna Nikaah ( Kisi doosre Musalman Mard se ) Kar le Kyunki Jo uski taqdeer mai Hai Wo zaroor usko milega _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh- 271 Ba hawala Bukhari v Muslim_,*

┱ Is Hadees mai bhi is Baat ki taraf tavajjoh dilayi gayi Hai k Koi kiss Ka bura na chahe , Jab Koi kisi ko Nikaah Ka paigaam de to use Apni marzi ke mutabiq haa'n ya na ka jawab de dena chahiye, Agar kisi Mard ke Nikaah mai pehle se koi Aurat ho to Apna Nikaah Karne Ke Liye Pehli Bivi ko Talaaq dene ki Shart na lagaye taki shohar se Jo kuchh usko milta Hai usse uska piyala Khali Kar de Yani use mehroom Kar ke khud usko Apne Liye makhsoos Kar le ,

┱ _ Baaz Ulma ne is Hadees Ka ye matlab bhi bataya Hai k Jab Do Aurte'n kisi Mard ke Nikaah mai ho to Koi Sotan Shohar se Apni Sotan ki Talaaq Ka sawal na kare , 

┱ Musalman ki imaani zimmedari mai se ye Baat bhi Hai k Jo kuchh Apne Liye pasand kare wo doosre Musalman ke Liye bhi pasand kare ,aur Jo Kuchh Apne Liye na pasand kare wo doosre Musalman ke Liye bhi na pasand kare, 

╨───────────────────── 

*┱✿ Kisi Aurat ko Uske Shohar Ke Khilaf Uksaana Gunaah Hai_,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Wo Shakhs humme se nahi Hai ( Yani Musalmano mai se ) Jo Kisi Aurat ko Fareb de Kar Shohar ki mukhalif bana de ,ya Kisi gulaam ko dhoka de Kar use Aaqa ka mukhalif bana de _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh -282 Ba Hawala Abu Daowd ,*

Is Hadees mai is Baat ki Nasihat farmayi gayi Hai k koi Mard v Aurat Kisi Aurat ko behka Kar Uske Shohar ki mukhalfat per Amaada na Kare , Agar Koi esi harkat Karega to wo esa Sakht mujrim hoga k uske bare mai Rahmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Wo Hamari Ummat se nahi Hai ,

┱ Bahut se Mard v Aurat isme maza lete Hai'n k Kisi ka Ghar bighad de , Shohar ko Bivi Ke Khilaf ya Bivi ko Shohar Ke Khilaf bhadkane ko kamaal samajhte hai'n , Khuda na Khwasta agar Miya Bivi mai Ranjish ho gayi Aur kisi ka Rishta toot Gaya ,ya Sulah karane ki bajaye mamooli si Ranjish ko qabile nafrat bana diya,ese Logo ki buri harkat se Miya Bivi qareeb aane Ke bajaye door Hote chale Jayenge ,esi harkat karne wale Ajnabi hi nahi Hote balki Rishtedar hi esa Kaam zyada Karte Hai'n,  Chhoti Chhoti baato se Dil khatta hota Jata hai ,Aur nobat Talaaq Tak pahunch Jati Hai , 
             
              

▦══─────────────══▦

ReF✿┅╮   

         *🗂 Tohfa E Khawateen,*

                  ╨─────────────────────